Sahir - Wo Buland-Baam Taare, Wo Falak-Maqaam Taare

Mere Ahd Ke Haseenon

In 1958, when Sputnik blasted into space, Sahir Ludhianvi paid a lyrical tributes in the following poem titled ‘Mere Ahd Ke Haseenon’

Wo Buland-Baam Taare, Wo Falak-Maqaam Taare
Jo Nishaan De Ke Apna, Rahe Be-Nishaan Hamesha
Wo Haseen, Wo Noor-Zaade, Wo Khalaa Ke Shaahzaade
Jo Hamaari Qismaton Par Rahe Hukmraan Hamesha

Mere Ahd Ke Haseenon, Wo Nazar-Nawaaz Taare
Mera Daur E Ishq Parwar Tumhe Nazr De Rahaa Hai
Wo Junoon Jo Aab-O-Aatish Ko Aseer Kar Chuka Hai
Wo Khalaa Ki Wus-Aton Se Bhi Khiraaj Le Rahaa Hai

Mere Paas Rehne Waalon, Mere Baad Aane Waalon
Mere Daur Ka Ye Tohfa, Tumhe Saazgaar Aaye
Kabhi Tum Khala Se Guzro Kisi Seem-Tan Ki Khatir
Kabhi Tum Ko Dil Mein Rakh Kar Koi Gul-O-Zaar Aaye

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>