Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha Hamara Dil Dukhana Chahiye Tha - Rahat Indori

Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha

Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha
Hamara Dil Dukhana Chahiye Tha

Aana Na Aana Meri Marzi Hai
Tumko To Bulana Chahiye Tha

Hamari Khwahish Ek Ghar Ki Thi
Use Sara Zamaana Chahiye Tha

Meri Aankhen Kahan Nam Hui Thi
Samundar Ko Bahana Chahiye Tha

Jahan Par Panhuchna Main Chahta Hoon
Wahan Pe Panhuch Jana Chahiye Tha
Hamara Zakhm Purana Bahut Hai
Chara-Gar Bhi Purana Chahiye Tha

Mujh se Pahle Wo Kisi Aur Ki Thi
Magar Kuch Shayrana Chahiye Tha

Chalo Mana Ye Choti Baat Hai Par
Tumhen Sab Kuch Batana Chahiye Tha

Tera Bhi Shaher Me Koi Nahin Tha
Mujhe Bhi Ek Thikana Chahiye Tha

Ke Kis Ko Kis Tarah Se Bhoolte Hainn
Tumhe Mujhko Sikhana Chahiye Tha

Aisa Lagta Hai Lahoo Mein Humko
Qalam Ko Bhi Dubana Chahiye Tha

Ab Mere Saath Rah Ke Tanz Na Kar
Tujhe Jaana Tha Jaana Chahiye Tha

Kya Bas Main Ne Hi Ki Hai Bewafaai
Jo Bhi Sach Hai Batana Chahiye Tha

Meri Barbadi Pe Wo Chahta Hai
Mujhe Bhi Muskurana Chahiye Tha

Bas Ek Tu Hi Mere Saath Mein Hai
Tujhe Bhi Rooth Jana Chahiye Tha

Humaare Paas Jo Ye Fan Hai Miyan
Humen Is Se Kamana Chahiye Tha

Ab Ye Taaj Kis Kaam Ka Hai
Humen Sar Ko Bachana Chahiye Tha

Usi Ko Yaad Rakha Umar Bhar Ke
Jisko Bhool Jana Chahiye Tha

Mujh se Baat Bhi Karni Thi Usko
Gale Se Bhi Lagana Chahiye Tha

Us Ne Pyaar Se Bulaya Tha Hume
Mar Ke Bhi Aana Chahiye Tha

Tumhen ‘Satlaj’ Usey Paane Ke Khatir
Kabhi Khud Ko Gawana Chahiye Tha

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>