Waseem - Apna Gham Leke Kahin Aur Na Jaaya Jaaye

Apna Gham Leke Kahin Aur Na Jaaya Jaaye

Apna Gham Leke Kahin Aur Na Jaaya Jaaye
Ghar Main Bikhri Hui Cheezo Ko Sajaaya Jaaye

Jin Chiraagon Ko Hawaon Ka Koi Khauf Nahin
Un Chirago Ko Hawaon Se Bachaya Jaaye

Bagh Main Jaane Ke Adaab Hua Karte Hain
Kisi Titli Ko Na Phoolon Se Udaaya Jaaye

Khudkushi Karne Ki Himmat Nahin Hoti Sab Main
Aur Kuch Din Yun Hi Auron Ko Sataya Jaaye

Ghar Se Masjid Hai Bahut Door Chalo Yun Kar Le
Kisi Rote Hue Bachche Ko Hansaya Jaaye

----------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Apna Gham Leke Kahin Aur Na Jaaya Jaaye Ghar Main Bikhri Hui Cheezo Ko Sajaaya Jaaye Jin Chiraagon Ko Hawaon Ka Koi Khauf Nahin Un Chirago Ko Hawaon Se Bachaya Jaaye Bagh Main Jaane Ke Adaab Hua Karte Hain Kisi Titli Ko Na Phoolon Se Udaaya Jaaye Khudkushi Karne Ki Himmat Nahin Hoti Sab Main Aur Kuch Din Yun Hi Auron Ko Sataya Jaaye Ghar Se Masjid Hai Bahut Door Chalo Yun Kar Le Kisi Rote Hue Bachche Ko Hansaya Jaaye -------------------... - See more at: http://www.urdushayari.in/search/label/Waseem%20Barelvi#sthash.ERk8baSG.dpuf

    Sorry : Yeh Ghazal Nida Fazli Ki Hai , Jisko Waseem Barelvi se JoD Diya Gaya Hai ... plz Correct it ... Thank You

    ReplyDelete

–>