Waseem - Kahin Chhat Thi, Diwar-O-Dar The Kahin

Kahin Chhat Thi, Diwar-O-Dar The Kahin

Kahin Chhat Thi, Diwar-O-Dar The Kahin
Milaa Mujhko Ghar Ka Pata Der Se

Diya To Bahut Zindegi Ne Mujhe
Magar Jo Diya Wo Diya Der Se

Hua Na Koi Kaam Mamool Se
Guzray Shab-O-Roz Kuch Is Tarah

Kabhi Chand Chamka Ghalat Waqt Par
Kabhi Ghar Main Suraj Uga Der Se

Kabhi Ruk Gaye Raah Main Be-Sabab
Kabhi Waqt Se Pehle Ghir Aayi Shab

Hue Band Darwaze Khul Khul Ke Sab
Jahan Bhi Gaya Main Gaya Der Se

Yeh Sab Ittefaaq Ka Khel Hai
Yahi Hai Judaai Yahi Mail Hai

Main Mud Mud Ke Dekha Kiya Door Tak
Bani Wo Khamosh Sada Der Se

Saza Din Bhi Roshan Hui Raat Bhi
Bhare Jaam Lehraai Barsaat Bhi

Rahe Saath Kuch Aise Halaat Bhi
Jo Hona Tha Jaldi Hua Der Se

-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>