Jo Log Jaan Boojh Ke Naadaan Ban Gaye
Mera Khayaal Hai Ki Vo Insaan Ban Gaye
Ham Hashr Mein Gaye Magar Kuchh Na Poochhiye
Vo Jaan Boojh Kar Vahaan Anjaan Ban Gaye
Hanste Hain Ham Ko Dekh Ke Arbaab-E-Aagahi
Ham Aap Ki Mizaaj Ki Pahchaan Ban Gaye
Majhdhaar Tak Pahunchna To Himmat Ki Baat Thi
Saahil Ke Aas Paas Hi Toofaan Ban Gaye
Insaaniyat Ki Baat To Itni Hai Shaikh Ji
Bad-Qismati Se Aap Bhi Insaan Ban Gaye
Kaante Bahut They Daaman-E-Fitrat Men Ai "Adam"
Kuchh Phool Aur Kuchh Mere Armaan Ban Gaye
--------------
0 Comments