Hasrat Mohani - Dekhna Bhi To Unhen Door Se Dekha Karna

Dekhnaa Bhi To Unhen Door Se


Dekhnaa Bhi To Unhen Door Se Dekhaa Karna
Shevaa-E-Ishq Nahin Husn Ko Ruswaa Karna

Ik Nazar Hi Teri Kaafi Thi Ki Ai Raahat-E-Jaan
Kuchh Bhi Dushwaar Na Thaa Mujh Ko Shakebaa Karna

Un Ko Yaan Waade Pe Aa Lene De Ai Abr-E-Bahaar
Jis Tarah Chaahna Phir Baad Men Barsaa Karna

Shaam Ho Yaa Ki Sahar Yaad Unhin Ki Rakh Le
Din Ho Yaa Raat Hamen Zikr Unhin Kaa Karna

Kuchh Samajh Men Nahin Aataa Ki Ye Kya Hai 'Hasrat'
Un Se Mil Kar Bhi Na Izhaar-E-Tamannaa Karna

--------------------

Post a Comment

3 Comments

  1. Tu khuda hai na mera ishq farishto jaisa, dono insaan hai to kyu hijabo mein mile.

    ReplyDelete
  2. Tu khuda hai na mera ishq farishto jaisa, dono insaan hai to kyu hijabo mein mile.

    ReplyDelete
  3. Mashallah! Fabulous indeed!

    ReplyDelete

–>