Hasrat Mohani - Husn-E-Be-Parvaah Ko Khudbib-O-Khudaaraa Kar Diyaa

Husn-E-Be-Parvaah Ko

Husn-E-Be-Parvaah Ko Khudbib-O-Khudaaraa Kar Diyaa
Kyaa Kiyaa Main Ne Ki Izhaar-E-Tamannaa Kar Diyaa

Badh Gayin Tum Se To Mil Kar Aur Bhi Betaabiyaan
Ham Ye Samjhe The Ki Ab Dil Ko Shakebaa Kar Diyaa

Padh Ke Teraa Khat Mere Dil Ki Ajab Haalat Hui
Iztaraab-E-Shauq Ne Ek Hashr Barpaa Kar Diyaa

Ham Rahe Yaan Tak Teri Khidmat Men Sargarm-E-Nayaaz
Tujh Ko Aakhir Aashanaa-E-Naaz-E-Bejaa Kar Diyaa

Ab Nahin Dil Ko Kisi Soorat Kisi Pahloo Qaraar
Is Nighat-E-Naaz Ne Kyaa Sahir Aisaa Kar Diyaa

Ishq Se Tere Bade Kyaa Kyaa Dilon Ke Martabe
Mahr Zarron Ko Diyaa Qatron Ko Dariyaa Kar Diyaa

Teri Mahfil Se Uthaataa Ghair Mujh Ko Kyaa Majaal
Dekhtaa Thaa Main Ki Toone Bhi Ishaaraa Kar Diyaa

Sab Ghalat Kahte The Lutf-E-Yaar Ko Wajah-E-Sukoon
Dard-E-Dil Is Ne To 'Hasrat' Aur Doonaa Kar Diyaa

---------------

Post a Comment

0 Comments

–>