Hasrat Mohani - Phir Bhi Hai Tum Ko Masihaai Kaa Daawaa Dekho

Phir Bhi Hai Tum Ko Masihaai Ka

Phir Bhi Hai Tum Ko Masihaai Kaa Daawaa Dekho
Mujh Ko Dekho, Mere Marne Ki Tamannaa Dekho

Jurm-E-Nazzaaraa Pe Kaun Itni Khushaamad Karta
Ab Wo Roothe Hain Lo Aur Tamaashaa Dekho

Do Hi Din Men Wo Baat Hai Na Wo Chaah Na Pyaar
Ham Ne Pahale Hi Ye Tum Se Na Kahaa Thaa Dekho

Ham Na Kahte The Banaawat Se Hai Saaraa Ghussa
Hans Ke Lo Phir Wo Unhon Ne Hamen Dekha Dekho

Masti-E-Husn Se Apni Bhi Nahin Tum Ko Khabar
Kya Suno Arz Meri, Haal Mera Kya Dekho

Ghar Se Har Waqt Nikal Aate Ho Khole Hue Baal
Shaam Dekho Na Meri Jaan Saveraa Dekho

Khaana-E-Jaan Men Namudaar Hai Ek Paikar-E-Noor
Hasrato Aao Rukh-E-Yaar Ka Jalvaa Dekho

Saamne Sab Ke Munaasib Nahin Ham Par Ye Itaab
Sar Se Dhal Jaaye Na Ghusse Men Dupattaa Dekho

Mar Mite Ham To Kabhi Yaad Bhi Tum Ne Na Kiyaa
Ab Muhabbat Kaa Na Karnaa Kabhi Daawaa Dekho

Dosto Tark-E-Muhabbat Ki Nasihat Hai Fuzool
Aur Na Maano To Dil-E-Zaar Ko Samjhaa Dekho

Sar Kahin Baal Kahin Haath Kahin Paaon Kahin
Us Ka Sonaa Bhi Hai Kis Shaan Ka Sonaa Dekho

Ab Wo Shokhi Se Ye Kahte Hain Sitam-Gar Jo Hain Ham
Dil Kisi Aur Se Kuchh Roz Bahlaa Dekho

Hawas-E-Did Miti Hai Na Mitegi "Hasrat"
Dekhne Ke Liye Chaaho Unhen Jitnaa Dekho

------------------

Post a Comment

0 Comments

–>