Iqbal Azim - Ye Meri Ana Ki Shikast Hai, Na Dawa Karo Na Dua Karo

Ye Meri Ana Ki Shikast Hai

Ye Meri Ana Ki Shikast Hai, Na Dawa Karo Na Dua Karo
Jo Karo Tu Bas Ye Karam Karo, Mujhe Mere Haal Pe Chor Do

Wo Jo Ek Tarkash-E Waqt Hai Abhi Us Main Teer Bahot Se Hain
Koi Teer Tum Ko Na Aa Lage, Mere Zakhm-E Dill Pe Na Yoon Hanso

Na Main Koh-Kan Hoon, Na Qais Hoon, Mujhe Apni Jaan Aziz Hai
Mujhe Tark-E Ishq Qubool Hai, Jo Tumhain Yaqeen-E Wafa Na Ho

Jo Tumhaare Dil Main Shukook Hain To Ye Ahd-Naame Fuzool Hain
Jo Mere Khutoot Hain Phaad Do, Ye Tumhare Khat Hain Samet Lo

Jo Kisi Ko Koi Sataaey Ga To Gila Bhi Honton Pe Aaey Ga
Ye To Ik Usool Ki Baat Hai, Jo Khafa Hai Mujh Se Koi To Ho

Mujhe Ab Sadaaon Se Kaam Hai, Mujhe Khaal-O Khad Ki Khaber Nahin
To Phir Is Fareb Se Faaida Ye Naqaab Ab To Utaar Do

Mujhe Apne Fuqr Pe Naaz Hai, Mujhe Is Karam Ki Talab Nahin
Main Gada Nahin Hoon Faqeer Hoon, Ye Karam Gadaaon Main Baant Do

Ye Faqat Tumhaare  Sawal Ka Mera Mukhtasar Sa Jawaab Hai
Ye Gila Nahin Hai, Khuloos Hai, Meri Guftugu Ka Asar Na Lo

Ye Adhoore  Chaand Ki Chaandni Bhi Andheri Raat Main Kum Nahin
Kaheen Ye Bhi Saath Na Chod De, Abhi Roshni Hai Chale Chalo

----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>