Ibn-E-Mariyam
Tum Khuda Ho
Khuda Ke Bete Ho
Ya Faqat Amn Ke Payambar Ho
Ya Kisi Ka Hasin Takhayul Ho
Jo Bhi Ho Mujh Ko Achche Lagte Ho
Mujh Ko Sachche Lagte Ho
Is Sitaare Men Jis Men Sadiyon Se
Jhooth Aur Kizb Ka Andhera Hai
Is Sitaare Men Jis Ko Har Rukh Se
Rangti Sarhadon Ne Ghera Hai
Is Sitare Men Jis Ki Aabaadi
Amn Boti Hai Jang Kaatati Hai
Raat Peeti Hai Noor Mukhdon Ka
Subah Seenon Ka Khoon Chaatati Hai
Tum Na Hote To Jaane Kya Hota
Tum Na Hote To Is Sitaare Men
Dewata Raakshas Ghulaam Imam
Paarsa Rind Raahbar Raahzan
Birehman Shaikh Paadri Bhikshu
Sabhi Hote Magar Hamaare Liye
Kaun Chadhta Khushi Se Sooli Par
Jhonpdon Men Ghira Ye Weeraana
Machhliyan Din Men Sookhti Hain Jahan
Billiyan Door Baithi Rahti Hain
Aur Kharish-Zada Se Kuchh Kuttey
Lete Rahte Hain Be-Niyazana
Dam Marode Ke Koi Sar Kuchle
Kaatna Kya Ye Bhaunkte Bhi Nahin
Aur Jab Wo Dahakta Angaara
Chhan Se Saagar Men Doob Jata Hai
Teeragi Odh Leti Hai Duniya
Kashtiyaan Kuchh Kinaare Aati Hain
Bhaang Gaanja Charas Sharaab Afeem
Jo Bhi Laayen Jahaan Se Bhi Laayen
Daudte Hain Idhar Se Kuchh Saaye
Aur Sab Kuchh Utaar Laate Hain
Gadi Jaati Hai Adal Ki Mizaan
Jis Ka Hissa Usi Ko Milta Hai
Tum Yahaan Kyon Khade Ho Muddat Se
Ye Tumhari Thaki Thaki Bheden
Raat Jin Ko Zamin Ke Seene Par
Subah Hote Undel Deti Hai
Mandiyon Daftaron Milon Ki Taraf
Haank Deti Dhakel Deti Hai
Raaste Men Ye Ruk Nahin Sakti
Tod Ke Ghutne Jhuk Nahin Sakti
In Se Tum Kya Tawaqqo Rakhte Ho
0 Comments