Parveen Shakir - Chehraa Meraa Thaa Nigaahen Us Ki

Chehraa Meraa Thaa Nigaahen Us Ki

Chehraa Meraa Thaa Nigaahen Us Ki
Khaamushi Men Bhi Wo Baaten Us Ki

Mere Chehre Pe Ghazal Likhti Gain
Sher Kahti Hui Aankhen Us Ki

Shokh Lamhon Ka Pata Dene Lagin
Tez Hoti Hui Saansen Us Ki

Aise Mausam Bhi Guzaare Ham Ne
Subahen Jab Apni Thin Shaamen Us Ki

Dhyaan Men Us Ke Ye Aalam Thaa Kabhi
Aankh Mahtaab Ki Yaaden Us Ki

Faislaa Mauj-E-Havaa Ne Likkhaa
Aandhiyaan Meri Bahaaren Us Ki

Neend Is Soch Se Tooti Aksar
Kis Tarah Katati Hain Raaten Us Ki

Door Rah Kar Bhi Sadaa Rahti Hai
Mujh Ko Thaame Hue Baahen Us Ki

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>