Justajoo Khoye Huon Ki Umr Bhar Karte Rahe
Chaand Ke Hamraah Ham Har Shab Safar Karte Rahe
Raaston Kaa Ilm Thaa Ham Ko Na Simton Ki Khabar
Shahar-E-Naa-Maaloom Ki Chaahat Magar Karte Rahe
Ham Ne Khud Se Bhi Chhupaayaa Aur Saare Shahar Se
Tere Jaane Ki Khabar Dar-O-Divaar Karte Rahe
Wo Na Aaye Ga Hamen Maaloom Tha Us Shaam Bhi
Intazaar Us Ka Magar Kuchh Soch Kar Karte Rahe
Aaj Aayaa Hai Hamen Bhi Un Udaanon Ka Khayaal
Jin Ko Tere Zaum Men Be-Baal-O-Par Karte Rahe
--------------

0 Comments