Parveen Shakir- Nazm- Kya Us Par Mera Bas Hai

Kya Us Par Mera Bas Hai

Kya Us Par Mera Bas Hai

Woh Ped Ghana
Lekin Kisi Aur Ke Aangan Ka
Kya Phool Mere Kya Phal Mere
Saaya Tak Chhoone Se Pehle
Duniya Ki Har Ungli Mujh Par Uth Jai Gi

Mere Har Din Ke Aanchal
Aansuon Main Range
Aahon Main Sookh Jaainge
Tah-Khane Ke Andar
Sab Jaanti Hoon

Lekin

Woh Hath Kisi Ke Hath Main
Jab Bhi Dekhti Hoon
Ek Ped Ki Shakhon Pe
Bijli Si Lapakti Hai
Ik Chote Se Ghar Ki Chhat Baithne Lagti Hai.

Ashkon Se Yun Aanchal Geele Karke Hum
Dil Pe Kab Tak Hawa Karen
Baagh Ke Dar Pe Qufl Pada Hai
Aur Khushboo Ke Hath Bandhe Hain
Kise Sada Den

Lafz Se Maani Bichar Chuke Hain
Log Puraane Ujar Chuke Hain
Aankhen Rakhna Jurm-E-Qabeeh Hai
Na-Beena Qanoon Watan Main Jari Hai
Qaabil-E-Dast-Andazi-E-Hakim-E-Aala Hai

Habs Bahut Hai.

---------------

Post a Comment

0 Comments

–>