Suna Hai Janglon Ka Bhi Koi Dastoor Hota Hai
Suna Hai Sher Ka Jab Pet Bhar Jaaye
To Wo Hamla Nahin Karta,
Suna Hai Jab Kisi Nadi Ke Paani Men
Bue Ke Ghonsle Ka Gandami Saaya Larazta Hai
To Nadi Ki Rupehli Machhliyaan Us Ko
Padosi Maan Leti Hain,
Hava Ke Tez Jhonke Jab Darakhton Ko Hilaate Hain
To Maina Apne Ghar Ko Bhool Kar
Kawwey Ke Andon Ko Paron Men Thaam Leti Hai
Suna Hai Ghonsle Se Jab Koi Bachcha Gire To
Saara Jangal Jaag Jaata Hai.
Nadi Men Baadh Aa Jaaye
Koi Pull Toot Jaaye
To Kisi Lakri Ke Takhte Per
Gilahri, Saanp, Cheeta Aur Bakri
Saath Hote Hain.
Suna Hai Janglon Ka Bhi Koi Dastoor Hota Hai,
Khuda-Wanda Jaleel-O-Mu’atabar, Daana-O Beena Munsif-O Akber,
Hamaare Shahar Men Ab,
Jangalon Ka Hi Koi Dastoor Naafiz Ker
----------------
0 Comments