Zauq - Ab To Ghabra Ke Ye Kahte Hain Ke Mar Jayen Ge

Ab To Ghabra Ke Ye Kahte Hain Ke

Ab To Ghabra Ke Ye Kahte Hain Ke Mar Jayen Ge,
Mar Ke Bhi Chain Na Paaya To Kidhar Jayen Ge,

Tum Ne Thahrai Agar Ghair Ke Ghar Jane Ki,
To Iraade Yahan Kuch Aur Thahar Jayen Ge ,

Ham Nahin Wo Jo Karen Khun Ka Dava Tujh Par,
Balki Pooche Ga Khuda Bhi To Mukar Jayen Ge ,

Aag Dozakh Ki Bhi Ho Jayegi Pani Pani,
Jab Ye Asi Arq-E-Sharm Se Tar Jayen Ge,

Shola-E-Aah Ko Bijli Ki Tarah Chamkaaun,
Par Mujhe Dar Hai, Ki Wo Dekh Kar Dar Jayen Ge,

Laaye Jo Mast Hain Turbat Pe Gulabi Ankhen,
Aur Agar Kuch Nahin, Do Phool To Dhar Jayen Ge,

Nahni Paaye Ga Nishaan Koi Hamaara Hargiz,
Ham Jahaan Se Ravish-E-Teer-E-Nazar Jayen Ge,

Pahunchen Ge Rahaguzar-E-Yaar Talak Ham Kyun Kar,
Pahle Jab Tak Na Do Aalam Se Guzar Jayen Ge,

‘Zauq’ Jo Madarse Ke Bigde Hue Hain Mullah
Un Ko Maikhaane Men Le Aao Sanvar Jayen Ge

-------------------------

Post a Comment

1 Comments

–>