Na Kartaa Zabt Main Naalaa To Phir Aisaa Dhooan Uthta,
Ki Neeche Aasmaan Ke Aur Nayaa Ik Aasmaan Hota,
Jo Rotaa Khol Kar Jee Tanganaa-E-Dahar Men Aashiq ,
To Joo-E-Kahkashaan Men Bhi Falak Par Khoon Ravaan Hota,
Bagoola Gar Na Hotaa Vaadi-E-Vahashat Men Ai Majnoon,
To Gumbad Ham Se Saragashton Ki Tubat Par Kahaan Hota,
Na Karta Zabt Main Giriyaa To Ai "Zauq" Ik Ghadi Bhar Men,
Katore Ki Tarah Ghadiyaal Ke Gharq Aasmaan Hota
---------------------

0 Comments