Ai Ishq Kaheen Le Chal, Is Paap Ki Basti Se- Akhtar Sheerani

Ai Ishq Kaheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal, Is Paap Ki Basti Se
Nafrat Gah-E- Aalam Se, Laanat Gah-E-Hasti Se
In Nafs Paraston Se, Is Nafs Parasti Se

Door Aur Kaheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Hum Prem Pujaari Hain Tu Prem Kanhayya Hai
Tu Prem Kanhayya Hay Ye Prem Ki Nayya Hai
Ye Prem Ki Nayya Hay, Tu Is Ka Khiwayya Hai

Kuch Fik'r Nahin Le Chal
Ai Ishq Keheen Le Chal

Be-Rehm Zamaane Ko Ab Chod Rahe Hain Hum
Be-Dard Azizon Se Munh Mod Rahe Hain Hum
Jo Aas Ke Thi Woh Bhi Ab Tod Rahe Hain Hum

Bas Taab Nahin Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Ye Jabr-Kadah, Aazad Afkaar Ka Dushman Hai
Armaanon Ka Qaatil Hai Umeedon Ka Rahzan Hai
Jazbaat Ka Maqtal Hai, Jazbaat Ka Mad-Fun Hai

Chal Yaan Se Kaheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Aapas Main Chhal Aur Dhoke Sansaar Ki Reetain Hain
Is Paap Ki Nagri Main Ujri Si Pretain Hain
Haan Niyaaya Ki Haarain Hain, An-Niyaaya Ki Jeetain Hain

Sukh Chain Nahin, Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Ye Dard Bhari Duniya Basti Hai Gunahon Ki
Dil Chaak Umeedon Ki, Saffaak Nigahon Ki
Zulmon Ki, Jafaon Ki, Aahon Ki, Karahon Ki

Hain Ghum Se Hazeen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Aankhon Main Samaai Hai, Ik Khwaab-Numa Duniya
Taaron Ki Tarah Raushan, Mehtaab-Numa Duniya
Jannat Ki Tarah Rangeen, Shadaab-Numa Duniya

Lillah Waheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Ai Ishq Humain Le Chal Ik Noor Ki Vaadi Main
Ik Khwaab Ki Duniya Main, Ik Toor Ki Vaadi Main
Khoron Ke Khayalaat-E- Masroor Ki Vaadi Main

Ta-Khuld-E- Bareen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Maghrib Ki Hawaon Se Aawaz Si Aati Hai
Aur Hum Ko Samandar Ke Us Paar Bulaati Hai
Shayad Koi Tanhaai Ka Daiss Bataati Hai

Chal Us Ke Qareen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Ik Aisi Fiza Jis Tak Ghum Ki Na Rasaai Ho
Duniya Ki Hawa Jis Main Sadiyon Se Na Aai Ho
Ai Ishq Jahan Tu Ho Aur Teri Khudaai Ho

Ai Ishq Waheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal


Ik Aisi Jagah Jis Main Insaan Na Baste Hon
Ye Makr-O Jafa Pesha Haiwaan Na Baste Hon
Insaan Ki Qaba Main Yeh Shaitaan, Na Baste Hon

To Khouf Nahi Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

In Chaand Sitaron Ke Bikhre Huwe Shehron Main
In Noor Ki Kirnon Main Tehri Hoi Lehron Main
Thehri Hui Lehron Main, Soi Hui Nehron Main

Ai Hizr-E- Haseen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal

Ik Aisi Bahisht Aain Vaadi Main Pahunch Jain
Jis Main Kabhi Duniya Ke Ghum Dil Ko Na Tadpaain
Aur Jis Ki Baharon Main Jeene Ke Maze Aain

Le Chal, Tu Waheen Le Chal
Ai Ishq Kaheen Le Chal
 ----------------

Post a Comment

0 Comments

–>