Dil-E- Deewana-O Andaaz-E- Be-Baakana Rakhte Hain-Akhtar Sheerani

Dil-E- Deewana
Dil-E- Deewana-O Andaaz-E- Be-Baakana Rakhte Hain
Gadaa-E- Maikadah Hain Waza'e Aazadana Rakhte Hain

Mujhe Mai-Khana Thar-Tharata Huwa Mehsoos Hota Hai
Wo Mere Saamne Sharma Ke Jab Paimana Rakhte Hain

Bazaahir Hum Hain Bulbul Ki Tarah Mashhoor Harjaai
Magar Dil Main Gudaaz-E- Fitrat-E- Parwana Rakhte Hain

Jawaani Bhi To Ik Mauj-E- Sharab-E- Tund-O-Rangeen Hai
Bura Kya Hai Agar Hum Mashrab-E- Rindana Rakhte Hain

Kisi Maghroor Ke Aage Humara Sar Nahin Jhukta !
Faqeeri Main Bhi Akhtar Ghairat-E- Shaahana Rakhte Hain

-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>