Ek Nayaa Mod Dete Hue Phir Fasaana Badal Dijiye
Ya To Khud Hi Badal Jaaiye Ya Zamaana Badal Dijiye
Tar Nivaale Khushaamad Ke Jo Khaa Rahe Hain Vo Mat Khaaiye
Aap Shaheen Ban Jaayen Ge Aab-O-Daana Badal Dijiye
Ahl-E-Himmat Ne Har Daur Men Koh Kaate Hain Taqdeer Ke
Har Taraf Raaste Band Hain, Ye Bahaana Badal Dijiye
Tai Kiya Hai Jo Taqdeer Ne Har Jagah Saamne Aayega
Kitni Hi Hijraten Keejiye Ya Thikaana Badal Dijiye
Ham Ko Paala Tha Jis Ped Ne Us Ke Patte Hi Dushman Hue
Kah Rahi Hain Daaliyaan, Aashiyaana Badal Dijiye
------------------------
1 Comments
is there any audio recording of this ghazal in his original voice?
ReplyDelete