Pathra Gaya Hai Jaise Ke Ehsaas-E-Ranj-O-Gham
Ek Doosre Ki Maut Pa Hansne Lage Hain Hum
Phir Likhne Waale Kyun Na Qaseede Likhein Tere
Chaandi Ki Raushnaai Hai, Sone Ke Hain Qalam
Nikle They Kitne Shauq Se Gulshan Ki Sair Ko
Phoolon Ke Ghaao Dekhe, Sune Khushbuon Ke Gham
Iss Ahd Ka To Sab Se Bada Saaneha Hai Yeh
Jo Uthne Waale Sar They Wohi Ho Rahe Hain Kham
Badli Na Do Dilon Ki Kahaani Wohi Rahi
Aanchal Tumhaara, Aur Meri Aasteen Hai Nam
‘Manzar’ Mizaaj-E-Yaar Ki Paabandiyon Ko Chhod
Har Ek Baat Par Sar-E-Tasleem Kar Na Kham
-------------------------
0 Comments