Raat Bhar Un Ka Tasawwur Dill Ko Tadpata Raha-Akhtar Sheerani

 
Raat Bhar Un Ka Tasawwur Dill Ko Tadpata Raha
Ek Naqsha Saamne Aata Raha, Jaata Raha

Sab Na Milne Tak Ki Baaten Thin, Jab Aa Ke Mil Gai
Saare Shikwe Mit Gaye, Saara Gila Jaata Raha

In Lubon Ko Hi Na Tha Gustakhiyon Ka Hausla
Hum Ne Maana Umr Bhar Wo Hum Ko Tarsaata Raha

Us Hareem-E- Naaz Ka Ab Tak Na Paya Kuch Pata
Muddaton, Kum-Bakht Dill Galiyon Main Behkaata Raha

Zikr-E- Raahat Kya Ke Taskeen Tak Na Haasil Ho Saki
Gar-Che Ik Aalam Humaare Dil Ko Behlaata Raha

Us Taraf Us Naazneen Seene Main Mauj-E- Iztaraab
Is Taraf Naadaan Dil Seene Main Ghabraata Raha

Mehfil-E- Jaanaan Main Sab Ko Apni Apni Fikr Hai
Koi Akhtar Se Bhi Pooche Tera Kya Jaata Raha

 ------------------

Post a Comment

0 Comments

–>