Uthi Hai Maghrib Se Ghataa - Hafeez

Uthi Hai Maghrib Se Ghataa

Uthi Hai Maghrib Se Ghataa,

Peene Ka Mausam Aa Gayaa,

Hai Raqs Men Ik Maah-Laqa,

Naazuk Ada Naaz Aafrin,

Haan Naachti Jaa Gaaye Jaa,

Nazron Se Dil Baramaaye Jaa,

Tadpaaye Jaa Tadpaaye Jaa ,

O Dushman-E-Duniya-O-Din,

Tera Thiraknaa Khoob Hai ,

Teri Adaayen Dil-Nashin,

Lekin Thahar Too Kaun Hai ,

O Neem-Uriyaan Naazanin,

Kya Mashriqi Aurat Hai Too,

Hargiz Nahin Hargiz Nahin,

Teri Hansi Be-Baak Hai,

Teri Nigaah Chaalaak Hai,

Uff Kis Qadar Dil-Soz Hai,

Taqreer Baazaari Teri,

Kitni Havas Aamez Hai,

Ye Sadaa Purkaari Teri,

Sharm Aur Izzat Vaaliyaan,

Hoti Hain Iffat Vaaliyaan,

Vo Husn Ki Shahzaadiyaan,

Parde Ki Hain Aabaadiyaan,

Chashm-E-Falak Ne Aaj Tak,

Dekhi Nahin Un Ki Jhalak,

Sarmaayaa-E-Sharm-O-Hayaa,

Zevar Hai Un Ke Husn Ka,

Shauhar Ke Dukh Sahti Hain Vo,

Munh Se Nahin Kahti Hain Vo,

Kab Saamne Aati Hain Vo,

Ghairat Se Kat Jaati Hain Vo,

Aziyat-E-Millat Un Se Hai,

Naam-E-Sharaafat Un Se Hai,

Imaan Par Qaayam Hain Vo,

Paakizaa-O-Saayam Hain Vo,

Tujh Men Nahin Sharm-O-Hayaa,

Tujh Men Nahin Mahar-O-Vafaa,

Sach Sach Bataa Too Kaun Hai,

O Be-Hayaa Too Kaun Hai,

Ye Pur-Fasoon Ghamze Tere,

Naa-Mahramon Ke Saamne,

Hat Saamne Se Door Ho,

Mardood Ho Maqhoor Ho,

Taqdir Ki Heti Hai Too,

Shaitaan Ki Beti Hai Too,

Jis Qaum Ki Aurat Hai Too,

Us Qaum Par Laanat Hai Too,

Lekin Thahar Jaana Zaraa,

Teri Nahin Koi Khataa,

Mardon Men Ghairat Hi Nahin,

Qaumi Hamiyat Hi Nahin,

Vo Millat-E-Baizaa Ki Thi,

Saare Jahaan Ki Raushani,

Jaamiyat-E-Islaamiyaan,

Shahanshaah-E-Hindustaan,

Ab Is Men Dam Kuchh Bhi Nahin,

Ham Kya Hain Ham Kuchh Bhi Nahin,

Milli Siaasat Uth Gai,

Baazoo Ki Taaqat Uth Gai,

Shaan-E-Hejaazi Ab Kahaan,

Vo Turk-Taazi Ab Kahaan,

Ab Ghaznavi Himmat Gai

Ab Baabri Shaukat Gai

Lekin Mujhe Kya Khabt Hai,

Taqareer Kyon Berabt Hai,

Itnaa Sharaabi Ho Gayaa,

Aql-O-Khirad Bhi Kho Gayaa,

Mujh Ko Zamaane Se Gharaz,

Mitne Mitaane Se Gharaz,

Hindustan Se Kaam Kya,

Andeshaa-E-Islaam Kya,

Jeene Do Jeene Do Mujhe,

Peene Do Peene Do Mujhe,

Jab Hashr Ka Din Aayegaa,

Us Vaqt Dekha Jaayegaa,

Haan Naachti Jaa Gaaye Jaa,

Nazron Se Dil Bharmaaye Jaa,

Tadpaaye Jaa Tadpaaye Jaa,

Dushman-E-Duniya-O-Din,

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>