Zafar - Pas-E-Marg Mere Mazaar Par Jo Chiraagh Kisi Ne Jalaa Diyaa



Pas-E-Marg Mere Mazaar Par Jo Chiraagh Kisi Ne Jalaa Diyaa
Use Aah Daaman-E-Baad Ne Sare Shaam Hi Se Bujhaa Diyaa

Mujhe Dafn Karnaa Too Jis Ghadi To Ye Us Se Kahnaa Ki Ai Pari
Vo Jo Teraa Aashiq-E-Zaar Thaa Tah-E-Khaak Use Dabaa Diyaa

Dam-E-Ghusl Se Mere Peshtar Use Ham-Damon Ne Ye Soch Kar
Kahin Jaave Us Kaa Na Dil Dahal Meri Laash Par Se Hataa Diyaa

Meri Aankh Jhapki Thi Ek Pal Mere Dil Ne Chaaha Ki Uth Ke Chal
Dil-E-Beqaraar Ne O Miyaan Vahin Chutki Leke Jagaa Diyaa

Zaraa Un Ki Shokhi To Dekhiye Liye Zulf-E-Kham-Shudaa Haath Men
Mere Peechhe Aaye Dabe-Dabe Mujhe Saanp Kah Ke Daraa Diyaa

Main Ne Dil Diyaa Main Ne Jaan Di Magar Aah Too Ne Na Qadr Ki
Kisi Baat Ko Jo Kahaa Kabhi Use Chutkiyon Men Udaa Diyaa

-----------------------------


Post a Comment

0 Comments

–>