Zulf O Rukkh Ke Saaye Main Zindagi Guzaari Hai
Dhoop Bhi Hamari Hai Chhaon Bhi Hamaari Hai
Gham-Gusar Chehron Par Aitebar Mat Karna
Shehr Main Siaasat Ke Dost Bhi Shikaari Hain
Mod Lene Waali Hai Zindagi Koi Shayad
Abb Ke Phir Hawaaon Main Ek Be-Qaraari Hai
Ik Ajeeb Thandak Hai Uss Ke Narm Lehjey Main
Lafz Lafz Shabnam Hai Baat Baat Pyari Hai
Kutch To Paayen Ge Uski Qurbaton Ka Khamyaza
Dil To Ho Chuke Tukde Ab Saron Ki Baari Hai
Baap Bojh Dhota Tha Kya Jahez De Paata
Iss Liye Wo Shehzaadi Aaj Tak Kunwari Hai
Keh Do Meer O Ghalib Se Ham Bhi Sher Kehte Hain
Wo Sadi Tumhaari Thi Ye Sadi Hamaari Hai
------------------
0 Comments