Meer Anees- Jheelon Se Chaar Paaye Na Uthte Thay Taaba Shaam

Jheelon Se Chaar Paaye Na Uthte

Karbala 2

Jheelon Se Chaar Paaye Na Uthte Thay Taaba Shaam
Maskan Mein Machhliyon Ke Samandar Ka Tha Maqaam
Aahu Jo Kahile Thay To Cheetey Siyaah-Faam
Patthar Bhi Sab Pighal Gaye Thay Misl-E-Mom-Khaam

Surkhi Udi Thi Phoolon Se Sabzi Gayaah Se
Paani Kuwein Mein Utra Tha Saaye Ki Chaah Se


Koson Kisi Shajar Mein Na Gul Thay Na Barg-O-Baar
Ek Ek Nakhl Jal Rahaa Thaa Soorat-E-Chinaar
Hanstaa Thaa Koi Gul Na Lahakta Thaa Sabzazaar
Kaanta Hui Thi Sookh Ke Har Shaakh-E-Baar Daar

Garmi Ye Thi Ki Zeest Se Dil Sab Ke Sard Thhe
Patte Bhi Masle-E-Chehra-E-Madqooq Zard Thhe      


Girdaab Par Thaa Shola-E-Jvaalaa Kaa Gumaan
Angaare Thhe Habaab To Paani Sharar Fishaan
Munh Se Nikal Padi Thi Har Ek Mauj Ki Zabaan
Tah Par Thhe Sab Nihang Magar Thi Labon Pe Jaan

Paani Tha Aag Garmi-E-Roz-E-Hisaab Thi
Maahi Jo Seekh-E-Mauj Tak Aayi Kabaab Thi


Aainaa-E-Falak Ko Na Thi Taab-O-Tab Ki Taab
Chhipne Ko Barq Chaahti Thi Daaman-E-Sahaab
Sab Ke Sivaa Thaa Garm Mizaajon Ko Iztiraab
Kaafoor-E-Subah Dhoondhta Phirta Thaa Aaftaab

Bhadki Thi Aag Gumbad-E-Charkh-E-Aseer Mein
Baadal Chhipe Thhe Sab Kurrah-E-Zamharir Mein


Sher Uthte Thay Na Dhoop Ke Maarey Kachaad Se
Aahu Na Munh Nikaalte Thay Sabz Zaar Se
Aaina Mahr Ka Tha Muqaddar Ghubaar Se
Gardoon Ko Tapp Chadi Thi Zameen Ke Bukhaar Se

Garmi Se Muztarib Tha Zamana Zameen Par
Bhun Jata Tha Jo Girta Tha Dana Zameen Par


Aab-E-Rawaan Se Munh Na Uthaate Thay Jaanwar
Jangal Mein Cheetey Phirtey Thay Ta’ir Idhar Udhar
Mardam Thay Saat Pardon Ke Andar Araq Mein Tar
Jis Khana-E-Mizaa Se Nikalti Na Thi Nazar

Gar Chashm Se Nikal Ke Thahar Jaaye Raah Mein
Pad Jaaye Laakh Aabley Paaye Nigaah Mein


Is Dhoop Mein Khade Thay Akele Shah-E-Umam
Na Daaman-E-Rasool Tha Na Saaya-E-Alam
Oudi Thi Lab Zabaan Mein Kaante Kamar Mein Kham
Sholay Jigar Se Aah Ke Uthti Thi Dam Badam

Be-Aab Teesra Tha Jo Din Mehmaan Ko
Hoti Thi Baat Baat Mein Miknat Zabaan Ko


Kahta Tha Ibn-E-Saad Ke Ai Aasmaan Janaab
Bayyat Jo Keejiye Ab Bhi To Haazir Hai Jaam-E-Aab
Farmatey Thay Hussain Ke Ai Khanuma-Kharaab
Darya Ko Khaak Jaanta Hai Ibn-E-Bu-Turaab

Faasiq Hai Paas Kuch Tujhe Islaam Ka Nahin
Aab-E-Taba Ho Ye To Mere Kaam Ka Nahin


Garjum Ka Naam Loon To Abhi Jaam Leke Aaye
Kausar Yaheen Rasool Ka Ehkaam Leke Aaye
Rooh-Ul-Ameen Zameen Pa Mera Naam Leke Aaye
Lashkar Malak Ka Fatah Ka Paighaam Leke Aaye

Chahoon Jo Inqilaab To Dunya Tamaam Ho
Ulte Zameen Yon Ke Na Koofa Na Shaam Ho


Farma Ke Ye Nigaah Jo Ki Suwwe Zulfiqaar
Tharraa Ke Pichley Paaon Hata Wo Sitam Shi’aar
Mazloom Par Safon Se Chaley Teer Beshumaar
Awaaz-E-Qous Harb Huwi Aasmaan Ke Paar

Naize Utha Ke Jang Par Aswaar Tul Gaye
Kaaley Nishaan Sipaah-E-Sairon Mein Khul Gaye


Jab Rann Mein Tegh Tol Ke Sultaan-E-Deen Badhey
Geethi Ke Thaam Lene Ko Rooh-Ul-Ameen Badhey
Manind Sher-E-Haq Kahin Thahre Kahin Badhey
Goya Ali Ulat Te Huwe Aasteen Badhey

Jalwa Diya Jari Ne Uroos-E-Musaaf Ko
Mushkil-Kusha Ki Tegh Ne Chhoda Ghilaaf Ko


Allah Re Tezi-O-Barsh Is Shola Rang Ki
Chamki Sawaar Par To Khabar Laayi Tang Ki
Pyasi Faqat Lahu Ki Talabgaar Jang Ki
Hajat Usey Na Saan Ki Thi Aur Na Sang Ki

Khoon Se Falak Ko Laashon Se Maqtal Ko Bharti Thi
Sau Baar Dam Mein Charkh Pe Chadhti Utarti Thi


Seene Pe Chal Gayi To Kaleja Lahu Huwa
Goya Jigar Mein Maut Ka Nakhan Faru Huwa
Chamki To Al Amaan Ka Ghul Chaar Su Huwa
Jo Is Ke Munh Pa Aa Gaya Be Aabru Huwa

Rukta Tha Ek Waar Na Das Se Na Paanch Se
Chehre Siyaah Ho Gaye Thay Is Ki Aanch Se


Bichh Bichh Gayeen Safon Pe Safein Wo Jahaan Chali
Chamki To Is Taraf Idhar Aayi Wahaan Chali
Donon Taraf Ki Fauj Pukari Kahaan Chali
Is Ne Kaha Idhar Wo Pukara Yahaan Chali

Munh Kis Taraf Hai Tegh Zanon Ko Khabar Na Thi
Sar Gir Rahe Thay Aur Tanon Ko Khabar Na Thi

Allah Re Khauf Tegh-E-Shah-E-Kainaat Ka
Zehr Ah Tha Aab Khauf Ke Maarey Furaat Ka
Darya Mein Haal Ye Tha Har Ek Bad Sifaat Ka
Chara Faraar Ka Tha Na Yaara Sabaat Ka

Ghul Tha Ke Barq Girti Hai Har Dar’a Posh Par
Bhago Khuda Ke Qahr Ka Darya Hai Josh Par


Har Chand Machhliyaan Thi Zira Posh Sar Basar
Munh Kholey Chhipti Phirti Thi Lekin Idhar Udhar
Bhagi Thi Mauj Chhod Ke Girdaab Ki Sipar
Thay Tah Nasheen Nahang Ubhartey Na Thay Magar

Darya Na Tham Ta Khauf Se Is Barq-O-Taab Ke
Lekin Padey Thay Paaon Mein Chhaley Hubaab Ke


Phir To Ye Ghul Huwa Ke Duhayi Hussain Ki
Allah Ka Ghazab Hai Ladayi Hussain Ki
Darya Hussain Ka Hai Tarayi Hussain Ki
Dunya Hussain Ki Hai Khudayi Hussain Ki

Beda Bachaya Aap Ne Toofan Se Nooh Ka
Ab Rahm Waasta Ali Akbar Ki Rooh Ka


Akbar Ka Naam Sunke Jigar Par Lagi Sinaan
Aansoo Bhar Aaye Rok Li Rahwaar Ki ‘Inaan
Mud Kar Pukarey Laashe Pisar Ko Shah-E-Zamaan
Tum Ne Na Dekhi Jang Meri Ai Pidar Ki Jaan

Qasmein Tumhari Rooh Ki Ye Log Dete Hain
Lo Ab To Zulfiqaar Ko Hum Rok Dete Hain


Aayi Nidaa-E-Ghaib Ke Shabbeer Marhaba
Is Haath Ke Liye Thi Ye Shamsheer Marhaba
Ye Aabru Ye Jang Ye Tauqeer Marhaba
Dikhlaa Di Maa Ke Doodh Ki Taaseer Marhaba

Ghalib Kiya Khuda Ne Tujhe Kainaat Par
Bas Khatima Jihaad Ka Hai Teri Zaat Par


Bas Ab Na Kar Wigha Ki Hawas Ai Hussain Bas
Dam Le Hawa Mein Chand Nafas Ai Hussain Bas
Garmi Se Haampta Hai Faras Ai Hussain Bas
Waqt-E-Namaz-E-Asr Hai Bas Ai Hussain Bas

Pyasa Lada Nahin Koi Yon Izdehaam Mein
Ab Ehtemaam Chahiye Ummat Ke Kaam Mein


Labbaik Kah Ke Tegh Rakhi Shah Ne Miyaan Mein
Palti Sipaah Aayi Qayamat Jahaan Mein
Phir Sar-Kashon Ne Teer Milaye Kamaan Mein
Phir Khul Gaye Lipat Ke Pharere  Nishaan Mein

Be-Kas Hussain Zulm Shi’aron Mein Ghir Gaye
Maula Tumharey Laakh Sawaron Mein Ghir Gaye


Seene Pe Saamne Se Chaley Das Hazaar Teer
Chhaathi Pe Lag Gaye Kayi Sou Ek Baar Teer
Pahlu Ke Paar Barchiyaan Seene Ke Paar Teer
Padhtey Thay Das Jo Khainchte Thay Tan Se Chaar Teer

Yon Thay Khudang Zill-E-Ilahi Ke Jism Par
Jis Tarha Khaar Hoti Hai Sahi Ke Jism Par


Chaltey Thay Chaar Simt Se Bhaley Hussain Par
Toote Huwe Thay Barchiyon Waley Hussain Par
Qatil Thay Khanjaron Ko Nikaley Hussain Par
Ye Dukh Nabi Ki God Ke Paaley Hussain Par

Teer-E-Sitam Nikaalne Wala Koi Nahin
Girtey Thay Aur Sambhaalne Wala Koi Nahin


Zakhmon Se Choor Choor Huwa Fatima Ka Laal
Sard-E-Riyaaz Ahmad-O-Haider Huwa Nidhaal
Chehre Pa Khoon Mal Ke Ba-Sad Hasrat-O-Malaal
Ki Arz Shah Ne Shukr Hai Ai Rabb-E-Zul-Jalaal

Bachpan Se Roz-O-Shab Thi Yahi Aarzu Mujhe
Ya Rabb Tere Karam Ne Kiya Surkh-Roo Mujhe


Is Haal Se Jo Saif Ki Shiddat Huwi Siwa
Sadma Huwa Juda Ta’ab Tashnagi Juda
Aashista Rahwaar Se Hazrat Ne Ye Kaha
Ab Waqt Hai Wida Ka Ai Asb-E-Ba Wafa

Jangal Mein Ghar Batool Ka Lut Ta Hai Zuljanaah
Ab Saath Ek Umr Ka Chut Ta Ha Zuljanaah


Ai Khush-Kharaam Ab Na Bache Ga Tera Sawaar
Ab Ye Gulu-E-Khushk Hai Aur Tegh-E-Aabdaar
Ab Laash Par Ghareeb Ke Daudein Ge Rahwaar
Pamaal Hoga Ab Shah-E-Mardon Ka Gul’ezaar

Baithe Ga Seena-E-Pisar-E-Bu-Turaab Par
Qatil Dhare Ga Paaon Khuda Ki Kitaab Par


Zalim Mere Galey Pa Jo Khanjar Phiraae Ga
Tujh Se Ye Haal Qahr Ka Dekha Na Jaae Ga
Naala Haram Ka Hashr Zamane Mein Laae Ga
Fart-E-Gham-O-Alam Se Jigar Thar-Tharaae Ga

Ab Hoga Saamna Qalaq-O-Izteraar Ka
Naize Pe Sar Chadhe Ga Tere Shah-Sawaar Ka


Laakhon Mein Ek Bekas-O-Dilgeer Haai Haai
Farzand-E-Fatima Ki Ye Tauqeer Haai Haai
Bhaaley Wo Aur Pahlu-E-Shabbeer Haai Haai
Wo Zahr Mein Bhujaaye Huwe Teer Haai Haai

Ghussey Mein Thay Jo Fauj Ke Sarkash Bharey Huwe
Khali Kiye Hussain Pe Tarkash Bharey Huwe


Wo Gard Thi Jo Bhaagtey Phirtey Thay Waqt-E-Jang
Ek Sang-Dil Ne Paas Se Mara Jabeen Pa Sang
Sadme Se Zard Ho Gaya Sibt-E-Nabi Ka Rang
Mathey Pa Haath Tha Ke Galey Par Laga Khudang

Thama Gala Janaab Ne Maathey Ko Chordh Ke
Nikla Woh Teer Halq-E-Mubarak Ko Tod Ke


Likha Hai Teen Bhaal Ka Tha Naawak-E-Sitam
Munh Khul Gaya Ulat Gayi Gardan Ruka Jo Dam
Khainchi Sari Galey Ki Taraf Se Ba Chashm-E-Nam
Bhalein Nikaley Pusht Ki Jaanib Se Ho Key Kham

Ubla Jo Khoon Nikalta Huwa Dam Thahar Gaya
Chullu Rakha Jo Zakhm Ke Nichey To Bhar Gaya


Girtey Hain Ab Hussain Faras Par Se Hai Ghazab
Nikli Rikaab Paaye Mutahhar Se Hai Ghazab
Pahlu Shigaafta Huwa Khanjar Se Hai Ghazab
Ghash Mein Jhukey Amaama Gira Sar Se Hai Ghazab

Qura’an Rahl-E-Zeen Se Sar-E-Farsh Gir Padha
Dewaar-E-Ka’ba Baith Gayi Arsh Gir Padha


Gir Kar Kabhi Uthey Kabhi Rakha Zamee Pa Sar
Ugla Kabhi Lahu To Sambhala Kabhi Jigar
Hasrat Se Ki Khayaam Ki Janib Kabhi Nazar
Karwat Kabhi Tadap Ke Idhar Li Kabhi Udhar

Uth Baithey Jab To Zakhm Se Barchi Ke Phal Girey
Teer Aur Tan Mein Gadd Gaye Jab Munh Ke Bhal Girey


Jangal Mein Aayi Fatima Zahra Ki Ye Sada
Ummat Ne Mujh Ko Loot Liya Wa Mohammada
Is Waqt Kaun Haqq-E-Mohabbat Karey Ada
Hai Hai Ye Zulm Aur Do Aalam Ka Muqtara

Unnees Sau Hai Zakhm Tan-E-Chaak Chaak Par
Zainab Nikal Hussain Tadapta Hai Khaak Par


Zahra Idhar Tadap Ke Giri Aur Haram Udhar
Qatil Ne Tegh Pher Di Sayyad Ke Halq Par
Haatif Ne Aasmaan Se Sada Di Pukaar Kar
Faryaad Kat Gaya Pisar-E-Fatima Ka Sar

Be Jaan Lab-E-Furaat-E-Shah-E-Tashna Lab Huwa
Mara Gaya Imam-E-Zamaan To Ghazab Huwa


Dekha Jo Ahl-E-Bait-E-Nabi Ne Utha Ke Sar
Naizey Pe Aaftaab-E-Imamat Pada Nazar
Daude Saron Pa Khaak Udatey Ba Chashm-E-Tar
Dekha Ye Haal Jab Sar-E-Baleen Huwa Guzar

Taaza Lahu Rawaan Hai Tan-E-Paash-Paash Se
Takbeer Ki Sada Chali Aati Hai Laash Se


Pardah Ulat Ke Bint-E-Ali Nikli Ba Chashm-E-Tar
Larzaan Qadam Khameeda Kamar Gharq-E-Khoon Jigar
Chaaron Taraf Pukaarti Thi Sar Ko Peet Kar
Ay Karbala Bata Tera Mehmaan Hai Kidhar

Amma Qadam Ab Uthte Nahin Tashna-Kaam Ke
Pahuncha Do Laash Par Mere Baazu Ko Thaam Ke


Bhayya Main Ab Kahan Se Tumhein Laaoon Kya Karoon
Kya Kah Ke Apne Dil Ko Mein Samjhaaoon Kya Karoon
Kis Ki Duhayi Doon Kisey Chillaaoon Kya Karoon
Basti Paraayi Hai Main Kidhar Jaaoon Kya Karoon

Dunya Tamaam Ujad Gayi Veeraana Ho Gaya
Baithoon Kahan Ke Ghar To Aza-Khana Ho Gaya


Hai Hai Tumharey Aagey Na Khwahar Guzar Gayi
Bhayya Bataao Kya Tah-E-Khanjar Guzar Gayi
Aayi Sada Na Pooch Jo Hum Par Guzar Gayi
Sad Shukr Jo Guzar Gayi Behtar Guzar Gayi

Sar Kat Gaya Hamein To Alam Se Firaagh Hai
Gar Hai To Bas Tumhari Judaayi Ka Daagh Hai


Haan Aashiqon Hussain Ke Aah-O-Bukan Karo
Zahra Ka Saath Do Madad-E-Mustafa Karo
Haqq-E-Mohabbat-E-Shah-E-Wala Ada Karo
Be Sar Huwe Hussain Qayamat Bapa Karo

Samjho Shareek-E-Majlis-E-Matam Rasool Ko
Sab Mil Ke Do Hussain Ka Pursa Batool Ko


Bas Ai ‘Anees’ Za’uf Se Larzaan Hai Band Band
Aalam Mein Yaadgaar Rahein Ge Ye Chand Band
Tapke Qalam Se Za’uf Mein Kya Kya Buland Band
Aalam Pasand Lafzein Hain Sultaan Pasand Band

Ye Fasl Aur Ye Bazm-E-Aza Yaadgaar Hai
Peeri Ke Walwale Hain Khiza Ki Bahaar Hai

 -------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>