Meer Anees- Log Pahunche To Faqat Lafaz-O-Bayan Tak Pahunche

Log Pahunche To Faqat Lafaz-O-Bayan

Log Pahunche To Faqat Lafaz-O-Bayan Tak Pahunche
Kaash Koi To Mere Dard-E-Nihan Tak Pahunche

Dil Hai Seene Main Na Auron Ka Kaleja Tera
Tere Ehsas Ko Duniya Ye Kahan Tak Pahunche

Sahib-E-Dil Koi Milta Nahin Dunia Main Kaheen
Ik Isi Gham Se To Hum Aah-O-Fughan Tak Pahunche

Dhoondte Dhoondte Ik Jins-E-Wafa Ko Aakhir
Hum Jahan Se Hi Alag Ek Jahan Tak Pahunche

Aalim-E-Mahar-O-Murawwat Ki Thi Hum Ko Jo Talash
Thak Gae Jab To Phir Apne Hee Makan Tak Pahunche

Jo Tasawwur Main Muhabat Ka Jahan Hai Apne
Kaash! Duniya B Kabhi Aise Jahan Tak Pahunche

Rah Bhi Hai Yehi, Manzil Bhi Yehi Hai Un Ko
Ishq Main Jo Tere Qadmon Ke Nishan Tak Pahunche

Na Jhuke Jo Kabhi Haalaat Ke Taabe Ho Kar
Sar Unhi Ke To Yahan Nok-E-Sinan Tak Pahunche

Mai-Kade Main To Sabhi Rind Hain Aate Jaate
Sahib-E-Zaraf Magar, Peer-E-Mughan Tak Pahunche

Shukr Kyonkar Ho Ada Teri Khabar-Geeri Ka
Be-Amaan Bhi To Yahan , Teri Amaan Tak Pahunche

Raaz-E-Hasti Koi Samjha Hai Na Samjhe Ga Anees
Kuchh Jo Pahunche To Faqat Weham-O-Guman Tak Pahunche

   ----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>