Asghar Gondvi- Ik Gul-E-Tar Ke Vaaste Main Ne Chaman Luta Diya






Ik Gul-E-Tar Ke Vaaste Main Ne Chaman Lutaa Diyaa
Jo Naa Mile Naa Mit Sake, Vo Mujhe Muddoaa Diyaa

Haath Men Le Ke Jaam-E-Mai Aaj Vo Muskuraa Diyaa
Aql Ko Sard Kar Diyaa, Rooh Ko Jagmagaa Diyaa

Dil Pe Liyaa Hai Daagh-E-Ishq Kho Ke Bahaar-E-Zindagi
Ik Gul-E-Tar Ke Vaaste Main Ne Chaman Lutaa Diyaa

Lazzat-E-Dard-E-Khastagi, Daulat-E-Daaman-E-Tehi
Tor Ke Saare Hausale Ab Mujhe Yeh Silaa Diyaa

Kuchh To Kaho Yeh Kia Huaa, Tum Bhi The Saath Saath Kia
Gham Men Yeh Kiun Suroor Thaa, Dard Ne Kiun Mazaa Diyaa

Ab Na Yeh Meri Zaat Hai Ab Na Yeh Kaayenaat Hai
Main Ne Navaa-E-Ishq Ko Saaz Se Yoon Milaa Diyaa

Aks Jamaal-E-Yaar Kaa Aaina-E-Khudi Men Hai
Yeh Gham-E-Hijr Kia Diyaa, Mujhe Se Mujhe Chhupaa Diyaa

Hashr Men Aaftaab-E-Hashr Aur Vo Shor Al-Amaan
"Asghar"-E-But_Parast Ne Zulf Kaa Vaastaa Diyaa


-----------------

Post a Comment

0 Comments

–>