Kyaa Faiz Bakhshiyaan Hain Rukh-E-Be-Naqaab Ki
Zarron Men Rooh Daur Gayee Aaftaab Ki
Taaqat Kahaan Mushaahidah-E-Be-Hijaab Ki
Mujh Ko To Phoonk Degi Tajjalee Naqaab Ki
Mujh Ko Khabar Rahi Na Rukh-E–Be-Naqaab Ki
Hai Khud Namood-E-Husn Mein Shaan-E-Hijaab Ki
Itnaa Ki Izn-E–Shorish-O-Faryaad Deejiye
Mujh Ko Sawaal Ki, Na Zaroorat Jawaab Ki
Main Bul-Hawas Nahin Ki Bujhaaoon Ga Tashnagi
Mere Liye To Uthti Hain Maujen Sharaab Ki
Naqsh-E-Qadam Yeh Hain Usee Jaan-E-Bahaar Ke
Ik Pankhadi Padi Hai Lahad Par Gulaab Ki
Moosa Zahoor-E-Barq-E-Tajjalee Se Ghash Hue
Mujh Ko To Maar Daalti Shokhi Jawaab Ki
Hal Kar Liyaa Majaaz-O-Haqeeqat Ke Raaz Ko
Paayee Hai Main Ne Khwaab Men Taabeer Khwaab Ki
Thi Har Amal Men Dawah-E-Hasti Ki Masiyat
Maston Ne Aur Raah Nikaali Sawaab Ki
Kuchh Un Ki Shokhion Se Mujhe Vehm Ho Chalaa
Dekhoon To Qalb Cheer Ke Shakl Izteraab Ki
Peeri Men Aql Aayee To Samjhe Ki Khoob Thi
Doobi Hui Nashaat Men Ghaflat Shabaab Ki
----------------
0 Comments