Hali - Dhoom Thi Apni Paarsai Ki

Dhoom Thi Apni Paarsai Ki

Dhoom Thi Apni Paarsai Ki
Ki Bhi Aur Kis Se Aashnai Ki

Kyon Barhate Ho Ikhtilat Bahut
Ham Mein Taqat Nahin Judai Ki

Munh Kahan Tak Chupaao Ge Ham Se
Ham Ko Aadat Hai Khud-Numaai Ki

Lag Mein Hain Laghw Ki Baaten
Sulah Mein Ched Hai Ladaai Ki

Dil Bhi Pahlu Mein Ho To Yaan
Kis Se Rakhiye Ummid Dil-Rubaai Ki

Naa Mila Koi Gharat-E-Imaan
Rah Gai Sharm Parsaai Ki

Maut Ki Tarah Jis Se Darte The
Saa’t Aa Pahunchi Us Judaai Ki

Zinda Phirne Ki Hai Hawas “Hali”
Intaha Hai Ye Be-Hayaai Ki

-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>