Shahryar - Bichchde Logon Se Mulaqaat Kabhi Phir Hogi

ghazal-bichde logon se mulaqat

 
Bichchde Logon Se Mulaqaat Kabhi Phir Hogi
Dil Mein Ummeed To Kaafi Hai, Yaqeen Kuch Kam Hai

Zindagi Jaisi Tawaqqo Thi Nahin, Kuch Kam Hai
Har Ghadi Hota Hai Ehsaas Kahin Kuch Kam Hai

Aaj Bhi Hai Teri Doorii Hi Udaasi Ka Sabab
Ye Alag Baat Ki Pehli Si Nahin Kuchh Kam Hai

Ab Jidhar Dekhiye Lagta Hai Ki Is Duniya Mein
Kahin Kuchh Cheez Ziyaada Hai Kahin Kuchh Kam Hai

Bichhde Logon Se Mulaaqaat Kabhi Phir Hogi
Dil Mein Ummeed To Kaafi Hai Yaqeen Kuchh Kam Hai

Ghar Ki Taameer Tasavvur Hi Mein Ho Sakti Hai
Apne Naqshe Ke Mutaabiq Ye Zameen Kuchh Kam Hai

  -------------------

Post a Comment

0 Comments

–>