Shahryar - Kaisa Manzar Thaa Ki Zanjeer Huyeen Aawaazein

ghazal-kaisa manzar tha


Kaisa Manzar Thaa Ki Zanjeer Huyeen Aawaazein
Aur Makhlooq-E-Khuda Sari, Tamashaai Thee

Mujh Ko Rahna Thaa Isi Shahr Ki Galiyo Mein Aseer
Mere Hissey Mein Kahaan Dasht Ki Pinhaai Thee

Ek Yahi Shakl Thee Zakhmon Pe Bahaar Aane Ki
Kaam Kee Cheez Badi, Ab Khulaa, Tanhaai Thee

Tere Hi Kahne Pe Main Ne Ye Imaarat Dil Ki
Badi Mushkil Se Bade Shauq Se Banwaai Thee

Saff –Ba-Saff Aise Hi Utre They Sitaare Dil Se
Hu Ba-Hu Aisee Hi Kal Bhi Shab-E-Tanhai Thee

They Sabab Aur Teri Yaad Nahin Aayyi Thee
Ek Do Baar Tabi'at Zara Ghabraai Thee

   --------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>