Fani Badayuni- Ishq Ne Dil Mein Jagah Ki To Qazaa Bhi Aai


Ishq Ne Dil Mein Jagah Ki To Qazaa Bhi Aai
Dard Duniya Men Jab Aaya To Davaa Bhi Aai

Dil Ki Hasti Se Kiya Ishq Ne Aagaah Mujhe
Dil Jab Aayaa To Dhadakne Ki Sadaa Bhi Aai

Sadqe Utaaren Ge, Asiraan-E-Qafas Chhoote Hain
Bijliyaan Le Ke Nasheman Pe Ghataa Bhi Aai

Haan Na Thaa Baab-E-Asr Band, Magar Kyaa Kahiye
Aah Pahunchi Thi Ki Dushman Ki Duaa Bhi Aai

Aap Sochaa Hi Kiye, Us Se Miloon Yaa Na Miloon
Maut Mushtaaq Ko Mitti Mein Milaa Bhi Aa_Ii

Lo Masihaa Ne Bhi, Allaah Ne Bhi Yaad Kiyaa
Aaj Beemaar Ko Hichki Bhi, Qazaa Bhi Aai

Dekh Ye Jaada-E-Hasti Hai, Sambhal Kar “Fani”
Peechhe Peechhe Vo Dabe Paaon Qazaa Bhi Aai

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>