Ji Dhoondhataa Hai Ghar Koi Donon Jahaan Se Door
Is Aap Ki Zamin Se Alag, Aasmaan Se Door
Shaayad Main Darakhur-E-Nigah-E-Garm Bhi Nahin
Bijli Tadap Rahi Hai Mere Aashiyaan Se Door
Aankhen Churaa Ke Aap Ne Afasaanaa Kar Diyaa
Jo Haal Thaa Zabaan Se Qarib Aur Bayaan Se Door
Taa Arz-E-Shauq Mein Na Rahe Bandagi Ki Laag
Ik Sajdaa Chaahta Hoon Teri Aastaan Se Door
Hai Manaa Raah-E-Ishq Men Dair-O-Haram Ka Hosh
Yaani Kahaan Se Paas Hai Manzil, Kahaan Se Door
---------------------------

0 Comments