Fani Badayuni - Misc Ash'ar

Fani Badayuni
Ab Koi Aarzoo Nahin ‘Fani’
Dil-E-Umeedvar Hi Na Raha

------------

Maut Jis Ki Hayaat Ho ‘Fani’
Us Shaheed-E-Sitam Ka Maatam Kya

-------------

Har Nafs Umr-E-Guzashta Ki Hai Maiyyat ‘Fani’
Zindagi Naam Hai Mar Mar Jiye Jaane Ka

----------

Dayaar-E-Umr Mein Ab Qaht-E-Mehr Hai ‘Fani’
Koi Ajal Ke Siva Mehrbaan Nahin Milta

-----------

Dard De Kar Dil-E-‘Fani’ Ko Mita Dena Tha
Is Haqeeqat Ko Bhi Afsana Banaya Hota

----------

Uth Kar Chale To Hashr Bhi Uthna Tha Kya Zaroor
Un Ki Gali Se Madfan-E-‘Fani’ To Door Tha

----------

Kya Yeh ‘Fani’Kar Raha Tha Alam-E-Hasti Ki Sair
Aage Aage Bekhudi Thi Peeche Peeche Hosh Tha

-----------

Haan Aap Kisi Ko Yun Barbaad Nahi Karte
Yeh ‘Fani’-E-Nakarah Sach Hai Isi Qaabil Tha

---------

Dil Mein ‘Fani’ Ek Na Ek Hangama Barpa Hi Raha
Shauq Tha Jab Tak Kisi Ke Shauq Ke Mataam Ka

----------

Ghabra Gaya Khird Ki Taareekhiyon Se ‘Fani’
Ai Noor-E-Ishq Dil Ki Gehraiyon Mein Bhar Ja

----------

Ehsaas-E-Mohabbat Hi Meri Maut Hai ‘Fani’
Is Zindagi-E-Dil Ne Mujhe Jaan Se Maara

------------

Haaye Woh Josh-E-Junoon Haaye Woh Vahshat ‘Fani’
Yaad Aata Hai Hamein Haaye Zamana Dil Ka

----------

Na-Muraadi Had Se Guzri Haal-E-‘Fani’ Kuchh Na Pooch
Har Nafs Hai Ek Janaazah-E-Be-Taaseer Ka
----------

Kisi Ki Gham Ki Kahaani Hai Zindagi ‘Fani’
Zamaana Ek Fasaana Hai Marne Waalon Ka

----------

Na Aayenge Voh Tab Bhi Dam Nikal Jayega ‘Fani’
Magar Mushkil Se Niklega Badi Mushkil Se Niklega
-----------

Voh Naa-Murad-E-Ajal Bazm-E-Yaas Mein Bhi Nahin
Yahan Bhi ‘Fani’-E-Awaara Ka Pataa Nahin

-----------

Kaifiyat-E-Naa-Kaami-E-Dil Kya Kahun ‘Fani’
Dil Toot Gaya Tod Ke Paimaan-E-Tamanna
----------

‘Fani’ Tilism-E-Raaz-E-Haqiqat Yeh Hai Ke Hai
Tujh Par Teri Nigaah Ka Parda Padaa Hai

-------------

Dam Bhi ‘Fani’ Kisi Ke Gham Tak Hai
Dam Na Hoga Agar Yeh Gham Na Hoga

-------------

Zindagi Itni Hi Thi Jeena Muqaddar Hi Na Tha
Raaz-E-Ishq-E-Yaar ‘Fani’ Muft Rusva Ho Gaya

--------------

Yaad Hai ‘Fani’ Tujhe Koi Kahaani Aur Bhi
Khatam Kar Afsana-E-Gham Dil Pareshan Ho Gaya

------------

Yaa-Rab Tari Rehmat Se Maayoos Nahin ‘Fani’
Lekin Teri Rehmat Ki Taakheer Ko Kya Kahiye

------------

‘Fani’Ham To Jeete Ji Vo Maiyyat Hain Be-Gor-O-Kafan
Ghurbat Jis Ko Raas Na Aayi Aur Vatan Bhi Chhoot Gaya

-----------

Post a Comment

1 Comments

–>