Sauda - Daroon Hoon Bah Na Jaawe Shehr Bandh Kar Taar Rone Ka



Daroon Hoon Bah Na Jaawe Shehr Bandh Kar Taar Rone Ka
Nazar Aata Hai Phir Aankhon Mein Kuchh Aasaar Rone Ka

Jo Mazkoor Us Se Karta Hai Koi Gham-Khwar Rone Ka
To Kehta Hai Ke Chup Reh, Hai Use Aazaar Rone Ka

Sabab Us Chashm-E-Kafir Ke Hai Kya Her Bar Rone Ka
Ke Baandha Soorat-E-Zinaar Us Se Taar Rone Ka

Na Tha Kuch Kaam Chashm-E-Tar Se Naahaq Mil Ke Khooban Ne
Kiya Hai Shughl Tain Paida Dil-E-Bekaar Rone Ka

Jo Hain Aatish Nafas, Hai Ashk Unko Moajib-E-Tazeen
Gale Mein Pehnun Hun Jun Sham-E-Har Shab Taar Rone Ka

Gahi Khoon-E-Jigar Gahi Ashk, Gahi Lakht-E-Dil Yaaro
Kisoo Ne Bhi Kahin Dekha Hai Ye Bastaar Rone Ka

Karen Paak Isko Kab Tak Hum Ke Chashm-E-Zakhm Se Yaaro
Rakha Hai Dhab Hamara Deeda-E-Khoon-Baar Rone Ka

Main Apne Haal Per Hansta Hoon Warna Her Ghadi Zalim
Mohabbat Mein Tere Saamaan Hai Kya Tayyaar Rone Ka

Kabhi Main Baat Bin Roya Nahin Ki Us Se Paraayon Ne
Na Poocha Yun Sabab Kya Hai Tere Har Baar Rone Ka

Na Dhaya Konsa Ghar Sail Ne Mujh Ashk Ke ‘Sauda’
Gawaah Ab Tak Tu Hai Mere Dar-O-Diwar Rone Ka


     -----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>