Sauda - Kis Se Bayaan Kijiye Haal Dil-E-Tabah Ka



Kis Se Bayaan Kijiye Haal Dil-E-Tabah Ka
Samjhe Wahi Ise Jo Ho Zakhmi Teri Nigah Ka

Mujh Ko Teri Talab Hai Yaar Tujh Ko Hai Chaah Ghair Ki
Apni Nazar Mein Yaan Nahin Taur Koi Nibaah Ka

Deen-O-Dil Qarar-O-Sabr Ishq Main Tere Kho Chuke
Jeete Jo Abki Hum Bache Naam Na Lein Ge Chaah Ka

Zamzama Per Rakhe Hai Tu Murgh-E-Chaman Ke Gosh-E-Dil
Naala Kabhi Suna To Kar Apne Bhi Dad Khwah Ka

Husn Tere Ka Ai Sanam Hai Ki Dil Pe Naqsh Aaj
Teri Adaa Pe Shefta Dil Hai Gada-O-Shaah Ka

Wasl Bhi Ho To Dil Mera Gham Ko Na Chode Hijr Ke
Ye To Hamesha Hai Rafeeq, Wasl Hai Gaah Gaah Ka

‘Sauda’ Suna Hai Main Ne Ye Us Pe Huwa Tu Mubtila
Rashk Se Jis Ke Chehre Ke Daagh Jigar Hai Maah Ka

-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>