Toote Jo Teri Nigah Se Agar Dil Habaab Ka
Pani Bhi Phir Piyain To Maza Hai Sharab Ka
Dozakh Mujhe Qubool Ai Munkir-O-Nakeer
Lekin Nahin Dimaagh Sawaal-O-Jawaab Ka
Kehta Hai Aaina Ke Samjh Tarbiyat Ki Qadr
Jis Ne Kiya Hai Sang Ko Humrang Aab Ka
Tha Kis Ke Dil Ko Kashmaksh-E-Ishq Ka Dimaagh
Yaa Rab Bura Ho Deedah-E-Khaana-Kharaab Ka
Zahid Sabhi Hain Nemat-E-Haq Jo Hai Aql-O-Sharb
Lekin Ajab Maza Hai Sharaab-O-Kabaab Ka
Ghafil Ghazab Se Ho Ke Karam Per Nazr Na Rakh
Pur Hai Sharaar-E-Barq Se Daaman Suhaab Ka
Qatra Gira Tha Jo Ke Mere Ashk-E-Garm Se
Darya Main Hai Hanooz Phaphola Habbab Ka
Ai Barq Kis Tarah Main Hairaan Hoon Tere Paas
Naqsha Hai Theek Dil Ke Mere Iztiraab Ka
‘Sauda’ Nigaah-E-Deeda-E-Tehqeeq Ke Hazoor
Jalwa Her Ek Zarrah Mein Hai Aaftaab Ka
-------------------------
0 Comments