Vo Aaye Bazm Men Itnaa To 'Meer' Ne Dekha
Phir Is Ke Baad Chiraaghon Mein Raushni Na Rahi
[Meer Taqi Meer]
***********************************
Uth Kar To Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar
Kuchh Dil Hi Jaanta Hai Kis Dil Se Aaye Hain
[Faiz Ahmed Faiz]
***********************************
Phir Nazar Men Phool Mahake Dil Men Phir Shammen Jalin
Phir Tasavvur Ne Liyaa Us Bazm Men Jaane Kaa Naam
[Faiz Ahmed Faiz]
***********************************
Dil Leke Un Ki Bazm Men Jaayaa Na Jaaye Gaa
Ye Muddai Baghal Mein Chhupayaa Na Jaaye Gaa
[Daagh Dehlvi]
***********************************
Dil-E-Muztar Se Poochh Ai Raunaq-E-Bazm
Main Khud Aayaa Nahin Laayaa Gaya Hoon
[Shad Azeemabadi]
***********************************
Raunaq-E-Bazm Ban Gaye Lab Pe Hikaayaten Rahin
Dil Men Shikaayaten Rahin Lab Na Magar Hila Sake
[Hafeez Jalandhari]
***********************************
Is Shahar Men Kis Se Milen Ham Se To Chhooti Mahfilen
Har Shakhs Teraa Naam Le Har Shakhs Deevaana Tera
[Ibne Insha]
***********************************
Shaayad Mujhe Nikaal Ke Pachhata Rahe Hon Aap
Mahfil Men Is Khayaal Se Phir Aa Gayaa Hoon Main
[Abdul Hameed Adam]
***********************************
Chal Ai Hamdam Zaraa Saaz-E-Tarab Ki Chhed Bhi Sun Len
Agar Dil Baith Jaayegaa To Uth Aayenge Mahfil Se
[Saqib Lucknawi]
***********************************
Mujh Tak Kab Un Ki Bazm Mein Aataa Thaa Daur-E-Jaam
Saaqi Ne Kuchh Milaa Na Diyaa Ho Sharaab Men
[Mirza Ghalib]
***********************************
Vo Ek Mulaaqaat Mein Hairaan Kar Gaya
Vo Bazm Se Gayaa Aur Veeraan Kar Gaya
[Unknown]
***********************************
Bazm Men Aao Kisi Din Kar Ke Tum Solah Singaar
Ek Qayaamat Vaqt Se Pahle Bhi Aanaa Chaahiye
[Murad Lucknawi]
***********************************
Abhi Se Hosh Ude Maslehat-Pasandon Ke
Abhi Main Bazm Mein Aayaa Abhi Bola Kahaan
[Unknown]
***********************************
Raunaq-E-Bazm Ban Gaye Lab Pe Hikaayaten Rahin
Dil Men Shikaayaten Rahin Lab Na Magar Hila Sake
[Hafeez Jalandhari]
***********************************
Bazm-E-Anjum Ho Ke Bazm-E-Khaak Taa Bazm-E-Khayaal
Jis Jagah Jaao Sunaai Degi Insaanon Ki Baat
[Wamiq Jaunpuri]
***********************************
Jama Kar Leejiye Ghamzon Ko Magar Khoobi-E-Bazm
Bas Vahin Tak Hai Ke Baazaar Na Hone Paaye
[Shibli]
***********************************
Us Bazm Men Mujhe Nahin Banti Haya Kiye
Baithaa Rahaa Agar-Che Ishaare Hua Kiye
[Mirza Ghalib]
***********************************
Boo-E-Gul Naala-E-Dil Dood-E-Charaagh-E-Mahfil
Jo Teri Bazm Se Niklaa So Parishaan Nikla
[Mirza Ghalib]
***********************************
Ek Aansoo Ne Duboyaa Mujh Ko Un Ki Bazm Mein
Boond Bhar Paani Se Saari Aabroo Paani Hui
[Zauq]
***********************************
Jo Teri Bazm Se Utthaa Vo Is Tarah Uttha
Kisi Ki Aankh Men Aansoo Kisi Ke Daaman Mein
[Unknown]
***********************************
Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi
Jaisi Ab Hai Teri Mahfil Kabhi Aisi To Na Thi
[Bahadur Shah Zafar]
**********************************
Baagh Kis Kaam Kaa Jis Men Gulon Ko Shamshaad Na Ho
Lutf Deti Nahin Be-Sheesha-O-Saaghar Mahfil
[Unknown]
***********************************
Mahafil Se Uth Jaane Vaalo Tum Logon Par Kyaa Ilzaam
Tum Aabaad Gharon Ke Vaasi Main Aavaara Au Badnaam
[Unknown]
***********************************
Mahfil-E-Yaaraan Men Divaanon Kaa Aalam Kuchh Na Poochh
Jaam Haathon Mein Uthaayen To Chhalakna Chaahiye
[Ibrahim Ashk]
***********************************
Hui Ham Se Khata Teri Mahafil Mein Aa Baithe
Zamin Ki Khaak Ban Aasmaan Se Dil Lagaa Baithe
[Unknown]
***********************************
Sunaai Anjuman Men Jab Shab-E-Gham Ki Aap Biti
Kai Ro Ke Muskuraaye Kai Muskuraa Ke Roye
[Unknown]
***********************************
Muhabbat Karne Vaale Kam Na Honge
Teri Mahafil Men Lekin Ham Na Honge
[Hafeez Hoshiarpuri]
***********************************
Mahafil Men Baar Baar Kisi Par Nazar Gai
Ham Ne Chhupaai Laakh Magar Usi Par Nazar Gai
[Agha Bismil]
***********************************
Uth Ke Mahafil Se Mat Chale Jaanaa
Tum Se Raushan Ye Konaa Konaa Hai
[Wajida Tabassum]
***********************************
Jab Jaam Diyaa Thaa Saaqi Ne Jab Daur Chalaa Thaa Mahfil Mein
Vo Hosh Ki Saat Kyaa Kahiye Kuchh Yaad Rahi Kuchh Bhool Gaye
[Saghar Siddiqui]
***********************************
Tere Hote Huye Mahafil Men Jalate Hain Chiraagh
Log Kyaa Saada Hain Sooraj Ko Dikhaate Hain Chiraagh
[Ahmed Faraz]
***********************************
Mahafil Men Log Chaunk Pade Mere Naam Par
Tum Muskuraa Diye Meri Qeemat Yahi To Hai
[Hashim Raza]
***********************************
Tanhaa Tanhaa Ham Ro Lenge Mahfil Mahfil Gaayenge
Jab Tak Aansoo Paas Rahenge Tab Tak Geet Sunaayenge
[Nida Fazli]
***********************************
Jamaa Kar Lijiye Ghamzon Ko Magar Khoobi-E-Bazm
Bas Vahin Tak Hai Ke Baazaar Na Hone Paaye
[Shibli]
***********************************
Bikharaa Padaa Hai Tere Hi Ghar Men Teraa Vajood
Be-Kaar Mahfilon Men Tujhe Dhoondhtaa Hoon Main
[Qateel Shifai]
***********************************
Yoon Tadap Kar Dil Ne Tadpaayaa Sar-E-Mahafil Mujhe
Us Ko Qaatil Kahne Vaale Kah Uthe Qaatil Mujhe
[Jigar Moradabadi]
***********************************
0 Comments