Bosa Jo Rukh Ka Nahin Dete Lab Ka Deejiye
Hai Ye Misl-E-Phool Nahin Pankhadi Sahi
[Zauq]
***********************************
Saadgi Dekh Ki Bose Ki Havas Rakhta Hoon
Jin Labon Se Ki Mayassar Nahin Dushnaam Mujhe
[Mushafi]
***********************************
Koi Moonh Choom Legaa Is Naheen Par
Shikan Rah Jaaegi Yoon Hi Jabeen Par
[Riaz Khairabadi]
***********************************
Shaq Un Ko Tha Ki Raat Mein Bosa Na Le Koi
Gaalon Pe Rakh Ke Soye Kalaai Tamaam Raat
[Unknown]
***********************************
Ghair Len Mahfil Men Bose Jaam Ke
Ham Rahen Yoon Tashna-Lab Paighaam Ke
[Mirza Ghalib]
***********************************
Bosa Dete Nahin Aur Dil Pe Hai Har Lahza Nigaah
Jee Mein Kahte Hain Muft Aaye To Maal Achchha Hai
[Mirza Ghalib]
***********************************
Sohbat Mein Ghair Ki Na Padi Ho Kahin Ye Khoo
Dene Lagaa Hai Bosa Baghair Iltijaa Kiye
[Mirza Ghalib]
***********************************
Dikha Ke Jumbish-E-Lab Hi Tamaam Kar Ham Ko
Na De Jo Bosa To Moonh Se Kahin Javaab To De
[Mirza Ghalib]
***********************************
Kya Khoob Tum Ne Ghair Ko Bosa Nahin Diyaa
Bas Chup Raho Hamaare Bhi Moonh Mein Zabaan Hai
[Mirza Ghalib]
***********************************
Bosa Kaisa Ye Hi Ghaneemat Hai
Ke Na Samjhe Vo Lazzat-E-Dushnaam
[Mirza Ghalib]
***********************************
Aankhen Meri Talvon Se Mal Jaae To Achchha
Hai Hasrat-E-Paa-Bos Nikal Jaae To Achchha
[Zauq]
***********************************
Kya Taab Kya Majaal Hamaari Ki Bosa Len
Lab Ko Tumhaare Lab Se Milaakar Kahe Baghair
[Bahadur Shah Zafar]
***********************************
Jaan Kar Sota Tujhe Vo Qasa-E-Paa-Bosi Meraa
Aur Tera Thukra Ke Sar Vo Muskuraana Yaad Hai
***********************************
Yaar Tha Gulazaar Tha Baad-E-Sabaa Thi Main Na Tha
Laayaq-E-Paa-Bos-E-Jaan Kya Hina Thi Main Na Tha
[Bahadur Shah Zafar]
***********************************
Karte Ho Mujh Ko Manaa-E-Qadam-Bosi Kis Liye
Kya Aasmaan Ke Bhi Baraabar Nahin Hoon Main
[Mirza Ghalib]
***********************************
Kahin Bose Ki Mat Jurrat Dila! Kar Baithiyo Un Se
Abhi Is Had Ko Vo Kaifi Nahin Hoshiyaar Baithe Hain
[Insha]
***********************************
Bose Ki Hai To Khvaahish Par Kahiye Kyon Ke Us Se
Jis Se Mizaaj-E-Lab Par Harf-E-Savaal Baandhe
[Mirza Sauda]
***********************************
Aaj Bose Un Ke Gin Gin Ke Liye
Din Gine Jaate The Is Din Ke Liye
[Qavi Amrohi]
***********************************
Bosa Dene Mein Jo Poochha Ki Bigadta Kya Hai
Bose Lene Mein Kaho Aap Ko Milta Kya Hai
[Unknown]
***********************************
Be Ginti Bosey Liye Gaye Rukh-E-Dil Pasand Ke
Aashiq Tere Padhe Nahin Ilm-E-Hisaab Ko
[Aatish]
***********************************
Bosa Mujh Ko Nahi Dete Ho To Jhidki Hi Sahi
Nahin Darwaaza Jo Khul Sakta To Khidki Hi Sahi
['Insha']
***********************************
Bosa Jo Talab Main Ne Kiya Hans Ke Vo Bole
Ye Husn Ki Daulat Hai Lutaai Nahin Jaati
[Unknown]
***********************************
Lipta Jo Bosa Le Ke To Bole Ki Dekhiye
Ye Doosri Khata Hai Vo Pahla Qusoor Tha
[Unknown]
***********************************
Le Lo Bosa Apna Vaapas Kis Liye Takraar Ki
Kya Koi Jaageer Ham Ne Chheen Li Sarkaar Ki
[Akbar Meeruti]
***********************************
Sawaal-E-Bosa Ko Taala Jawaab-E-Cheen-E-Abroo Se
Baraat-E-Aashiqaan Par Shaakh-E-Aahoo Is Ko Kahtey Hain
[Ghalib]
**********************************
Bosa Liya Jo Chashm Ka Beemar Ho Gaye
Zulfen Chhuyin, Bala Mein Giraftaar Ho Gaye
[Hairat Allahabadi]
**********************************
Kaun Kehta Hai Ke Bosa Do Hamen
Munh Faqat Rakh Lene Do Rukhsaar Par
[Nama'loom]
**********************************
Dhamaka Ke Bosa Loon Ga Rukh-E-Rashk-E-Maah Ka
Chanda Vasool Hota Hai Saahab Dabaav Se
[Akbar Allahabadi]
***********************************
Ek Bose Ke Talab-Gaar Hain Ham
Aur Maangen To Gunah-Gaar Hain Ham
[Zar Azeemabadi]
**********************************
Kand-E-Lab Ka Un Ke Bosa Be-Takalluf Le Liyaa
Gaaliyaan Khaain Bala Se Moonh To Meetha Ho Gaya
[Maftoon Dehlvi]
***********************************
Bosa Hum Lete Rahein, Tum Gaaliyaan Dete Ho
Dil Hi Dil Mein Phir Hisaab-E-Dostaan Hojaayega
[Aagha Shair]
***********************************
Agar Ek Le Liya Bosa Khataa Is Ko Nahin Kehte
Mohabbat Kehte Hain Tark-E-Haya Is Ko Nahin Kehte
[Tasweer Dehlvi]
***********************************
Le Liya Jo Bosa Maine Bandah-Parwar Kya Hua
Pyar Mein Lab Rakhdiye Pyaare Labon Par Kya Hua
[Rakhshan]
***********************************
Hum To Kyon-Kar Kahein Ke Bosa Do
Gar Inaayat Karo Inaayat Hai
[Hakim Dehlvi]
***********************************
Wasl Ki Shab Aap Boson Par Khafa Hone Lage
Kya Maze Ki Baat Thi Kyon Bad-Maza Hone Lage

8 Comments
A very nice collection of assorted real Urdu sher
ReplyDeleteMy compliments.
Hi, there Guys Hope you are all doing Great and Fine!!
ReplyDeleteI came across to your website and find out that it has information related to Khawab Nama And
I have to say that it was very good and valuable information.
Thanks a lot, guys for the help.
Hi, there Guys Hope you are all doing Great and Fine!!!
ReplyDeleteI came across your website and find out that it has information related to Khwabon ki Tabeer in Urdu And hindi
I have to say that it was very good and valuable information.
if you want to read a full book of ibn sireen then go to Khwab Nama urdu
Thanks a lot, guys for the help.
Hello,
ReplyDeleteif you want to now interpration of dreams then you are riht place to be, khawab nama tabeer online Khwabon Ki Tabeer
i know to money people searching khawab ki tabeer in urdu so i reate a free online tabeer website just check.
Thanks for helping guys.
Hi Urdu,
ReplyDeletei know this is a best urdu shayari site in india but i am reach out to related khawab ki tabeer.
if you don't know which site is good for tabeer then just visit Khwabon Ki Tabeer
i hope you enjoy this khawab nama site in urdu online. thanks
Get Your "Khwab Nama 2019 Online" with US
ReplyDeletekhawab ki tabeer online, There is no shielding law through after which we can verify ourselves completely against mix-ups. That is the motivation behind why the thinkers, who encircled the principles of the rationale and created the methods for exchange and assembled the contentions of theory, fell persistently into mix-ups and left as the inheritance of their numbness many false thoughts and mixed up ways of thinking and vain talks.
I have to say that it was very good and valuable information Khwab Nama 2019 Online
Thanks a lot, guys for the help.
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteUrdu poetry is truly a beautiful and profound art form, and this article does a wonderful job of capturing its essence. The rich history, evocative language, and deep emotions conveyed through Urdu poetry resonate on such a personal level. Check sepco bill online Thank you for highlighting some of the most influential poets and their works—reading their verses is like experiencing a symphony of words and emotions. This piece is a must-read for anyone who appreciates the elegance and depth of Urdu poetry.
ReplyDelete