Vo Mera Dost Hai Saare Jahaan Ko Hai Maaloom
Daghaa Kare Vo Kisi Se To Sharm Aaye Mujhe
[Qateel Shifai]
******************************
Main Muddaton Jiyaa Hoon Kisi Dost Ke Baghair
Ab Tum Bhi Saath Chhodne Ko Kah Rahe Ho, Khair
[Firaq Gorakhpuri]
******************************
Ham Se Poochho Na Dosti Ka Sila
Dushmanon Ka Bhi Dil Hila Dega
[Sudarshan Faakir]
******************************
Vo Zamaana Bhi Tumhein Yaad Hai Tum Kahte The
Dost Duniyaa Mein Nahin "Daagh" Se Behtar Apna
[Daagh Dehlvi]
******************************
Meri Khushi Se Mere Doston Ko Gham Hai "Shamim"
Mujhe Bhi Is Ka Bahut Gham Hai Kya Kiyaa Jaaye
[Shamim Jaipuri]
******************************
Dost Gham-Khvaari Mein Meri Sai Farmaayen Ge Kya
Zakhm Ke Bharne Talak Naakhoon Na Badh Jaayen Ge Kya
[Mirza Ghalib]
******************************
Ai Dost Yoon To Ham Teri Hasrat Ko Kya Kahen
Lekin Ye Zindagi Bhi Koi Zindagi Nahin
[Firaq Gorakhpuri]
******************************
Jo Munkir-E-Vafaa Ho Fareb Us Pe Kya Chale
Kyon Bad-Gumaan Hoon Dost Se Dushman Ke Baab Men
[Mirza Ghalib]
******************************
Nahin Gar Hamdardi Aasaan Na Ho Ye Rashk Kya Kam Hai
Na Di Hoti Khudaayaa Aarzoo-E-Dost Dushman Ko
[Mirza Ghalib]
******************************
Bhool Shayad Bahut Badi Kar Li
Dil Ne Duniyaa Se Dosti Kar Li
[Bashir Badr]
******************************
Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho "Faraz"
Dost Hotaa Nahin Har Haath Milaane Vaalaa
[Ahmed Faraz]
******************************
Dhoondhne Par Bhi Na Miltaa Thaa Mujhe Apnaa Vajood
Main Talaash-E-Dost Men Yoon Be-Nishaan Thaa Dosto
[Jagannath Azad]
******************************
Bad-Gumaan Ho Ke Mil Ai Dost Jo Milnaa Hai Tujhe
Ye Jhijhakte Hue Milnaa Koi Milnaa Bhi Nahin
[Firaq Gorakhpuri]
******************************
Hamen Bhi Doston Se Kaam Aa Padaa Yaani
Hamaare Doston Ke Bevafaa Hone Kaa Vaqt Aayaa
[Hari Chand Akhtar]
******************************
"Ghalib" Nadim-E-Dost Se Aati Hai Boo-E-Dost
Mashghool-E-Haq Hoon Bandagi-E-Butaraab Men
[Mirza Ghalib]
******************************
Doston Se Aaj Mulaaqaat Ki Shaam Hai
Ye Sazaa Kaat Ke Phir Apne Ghar Ko Jaaoon Gaa
[Mazhar Imam]
******************************
Dushmanon Se Pashemaan Honaa Padaa
Doston Kaa Khuloos Aazamaane Ke Baad
[Khumar Barabankvi]
******************************
Hataaye The Jo Raah Se Doston Ki
Vo Patthar Mere Ghar Men Aane Lage Hain
[Khumar Bbarabankvi]
******************************
Saaf Kab Imtihaan Lete Hain Vo To Dam Deke Jaan Lete Hain
Zid Har Ek Bat Men Nahin Achchhi Dost Ki Dost Maan Lete Hain
[Daagh Dehlvi]
******************************
Gire Gi Kahaan Ye Barq Dosto
Meraa To Kahin Aashiyaan Bhi Nahin
[Mumtaz Mirza]
******************************
Kyaa Lutf-E-Dosti Ki Nahin Lutf-E-Dushmani
Dushman Ko Bhi Jo Dekhiye Pooraa Kahaan Hai Ab
[Daagh Dehlvi]
******************************
Dosti Jab Kisi Se Ki Jaaaye
Dushmanon Ki Bhi Raay Li Jaaye
[Raha Indori]
******************************
Ai Dost Tum Se Tark-E- Ta'alluq Ke Baa-Vajood
Mahsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhi Kabhi
[Sahir Ludhianvi]
******************************
Ye Kahaan Ki Dosti Hai Ke Bane Hain Dost Naaseh
Koi Chaara-Saaz Hotaa Koi Gham-Gusaar Hotaa
[Mirza Ghalib]
******************************
Mujhe Mere Doston Se Bachaaiye "Rahi"
Dushmanon Se Main Khud Nipat Loongaa
[Saeed Rahi]
******************************
Ye Fitnaa Aadami Ki Khaana-Viraani Ko Kyaa Kam Hai
Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Kaa Aasamaan Kyon Ho
[Mirza Ghalib]
******************************
Laakh Be-Mehar Sahi Dost To Rakhte Ho "Faraz"
Inhen Dekho Ke Jinhen Koi Bhi Sitam-Gar Na Milaa
[Ahmed Faraz ]
******************************
Yon Lage Dost Teraa Mujhase Khafaa Ho Jaanaa
Jis Tarah Phool Se Khushboo Kaa Judaa Ho Jaanaa
[Qateel Shifai]
******************************
Dost Ban Ban Ke Mile Mujh Ko Mitaane Vaale
Main Ne Dekhe Hain Kai Rang Badalane Vaale
[Saeed Rahi]
******************************
Mere Hamnafas, Mere Hamnavaa, Mujhe Dost Banke Daghaa Na De
Main Hoon Dard-E-Ishq Se Jaan-Ba-Lab, Mujhe Zindagi Ki Duaa Na De
[Shakeel Badayuni]
******************************
Ai Dost Mit Gayaa Hoon Fanaa Ho Gayaa Hoon Main
Is Daur-E-Dosti Ki Davaa Ho Gayaa Hoon Main
[Hafeez Jullundhary]
******************************
Har Taraf Zeest Ki Raahon Men Kadi Dhoop Hai Dost
Bas Teri Yaad Ke Saaye Hain Panaahon Ki Tarah
[Sudarshan Faakir]
******************************
Khudaa Jab Dost Hai Ai "Daagh" Kyaa Dushman Se Andeshaa
Hamaaraa Kuchh Kisi Ki Dushmani Se Ho Nahin Sakataa
[Daagh Dehlvi]
******************************
Apnon Ne Nazar Pheri To Dil Ne To Diyaa Saath
Duniyaa Men Koi Dost Mere Kaam To Aayaa
[Shakeel Badayuni]
******************************
0 Comments