Tum Agar Apni Khoo Ke Ho Maashooq
Apne Matlab Ke Yaar Ham Bhi Hain
[Daagh Dehlvi]
*****************************
Dil-E-Be-Gaana-Khoo, Duniya Mein Tera
Koi Ham-Dam Koi Ham-Raaz Bhi Hai
[Arsh Malsiyani]
*****************************
Ushshaaq Ke Dil Naazuk Us Shokh Ki Khoo Naazuk
Naazuk Isi Nisbat Se Hai Kaar-E-Muhabbat Bhi
[Hasrat Mohani]
*****************************
Aadatan Tum Ne Kar Diye Vaade
Aadatan Ham Ne Aitbaar Kiya
[Gulzar]
*****************************
Ranj Se Khoo-Gar Hua Insaan To Mit Jaataa Hai Ranj
Mushkilen Mujh Par Padi Itni Ke Aasaan Ho Gain
[Mirza Ghalib]
*****************************
Aadat Si Banaa Li Hai Tum Ne To "Munir" Apni
Jis Shahar Mein Bhi Rahna Ghabraaye Hue Rahna
[Munir Niazi]
*****************************
Ham Bhi Tasleem Ki Khoo Daalenge
Be-Niyaazi Teri Aadat Hi Sahi
[Mirza Ghalib]
*****************************
Sohabat Mein Ghair Ki Na Padi Ho Ye Khoo Kahin
Dene Lage Hain Bose Baghair Iltajaa Kiye
[Mirza Ghalib]
*****************************
Zid Ki Hai Aur Baat Magar Khoo Buri Nahin
Bhoole Se Us Ne Saikdon Vaade Vafaa Kiye
[Mirza Ghalib]
*****************************
Marne Ke Vaqt Bhi Meri Aankhen Khuli Rahin
Aadat Jo Pad Gai Thee Tere Intazaar Ki
[Unknown]
*****************************
Voh Apni Khoo Na Chhoden Ge, Ham Apni Vaza'a Kyon Chhoden
Subuk Sar Ban Ke Kya Poochhen, Ki Ham Se Sar-Giraan Kyon Ho
[Mirza Ghalib]
*****************************
Be-Talab Den To Maza Us Mein Siva Milta Hai
Vo Gada Jis Ko Na Ho Khoo-E-Savaal Achchha Hai
[Mirza Ghalib]
*****************************
Tumhin Kaho Ki Guzaara Sanam-Paraston Ka
Buton Ki Ho Agar Aisi Hi Khoo To Kyonkar Ho
[Mirza Ghalib]
*****************************
Milti Hai Khoo-E-Yaar Se Naar Iltihaab Mein
Kaafir Hoon Gar Na Milti Ho Raahat Azaab Mein
[Mirza Ghalib]
*****************************
Allaah Re! Teri Tundi-E-Khoo, Jis Ke Beem Se
Azzaa-E-Naalaa Dil Mein Mere Rizqe-Ham Hue
[Mirza Ghalib]
*****************************
Vo Bad-Khoo Aur Meri Daastan-E-Ishq Toolaani
Ibaarat Mukhtasar, Qaasid Bhi Ghabra Jaaey Hai Mujh Se
[Mirza Ghalib]
*****************************
Yun Arz-O-Talab Se Kab Ai Dil Patthar-Dil Paani Hote Hain
Tum Laakh Raza Ki Khoo Daalo Kab Khoo-E-Sitamgar Jaati Hai
[Faiz Ahmed Faiz]
*****************************
Apne Khoo-E-Vafaa Se Darta Hoon
Aashiqi Bandagi Na Ho Jaaye
[Bekhud Dehlvi]
*****************************
Khuda Jaane Kya Hoga Anjaam Is Ka
Main Be-Sabar Itna Hoon Vo Tund-Khoo Hai
[Khwaja Meer Dard]
*****************************
Kya Sabab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar
Khoo Teri Hoor-E-Shamaail Kabhi Aisi To Na Thi
[Bahadur Shah Zafar]
*****************************
Koocha-E-Yaar Mein Jaane Ki Kabhi Khoo Na Gai
Thokaren Kha Ke Bhi Sambhle Na Sambhalne Vaale
[Mohammed Ali Nazir]
*****************************
Raazi-Va-Raza Ham Hain Bahar-Haal Magar Haan
Dar Hai Ki Ye Khoo Tum Ko Sitama-Gar Na Kar De
[Hasrat Mohani]
*****************************
Aadat Si Hai Nasha Na Ba Kaif
Paani Na Piyaa Sharab Pee Lee
[Riaz Khairabadi]
*****************************
Lazzat Kabhi Thi Ab To Museebat Si Ho Gai
Mujh Ko Gunaah Karne Ki Aadat Si Ho Gai
[Bekhud Dehlvi]
*****************************
Kuchh Ho Lekin Ye Meri Aadat Hai
Jab Vo Aayen To Muskura Dena
[Josh Malihabadi]
*****************************
Nahin Yaa Sanam 'Momin' Ab Kufr Se Kuchh
Ke Khoo Ho Gai Hai Sada Kahte Kahte
[Momin Kham Momin]
*****************************
Be-Talab Dein To Maza Uss Mein Siwa Milta Hai
Woh Gada Jis Ko Na Ho Khoo-E-Sawaal Achcha Ha
[Ghalib]
*****************************
Kya Sabab Too Jo Bigadta Hai "Zafar" Se Har Baar
Khoo Teri Hoor-E-Shamaail Kabhi Aisi To Na Thi
[Zafar]
*****************************
Is Balaa-E-Jaal Se ‘Aatish’ Dekhiye Kyunkar Nibhe
Dil Siwa Sheeshe Se Naazuk, Dil Se Naazuk Khoo-E-Dost
[Aatish]
*****************************
Nahin Yaa Sanam 'Momin' Ab Kufr Se Kuchh
Ke Khoo Ho Gai Hai Sadaa Kahte Kahte
[Momin]
*****************************
0 Comments