Mareez-e-Ishq Ashaar
Beemaar Tere Jee Se Guzar Jaayen To Achchha
Jeete Hain Na Marte Hain Ye Mar Jaayen To Achchha
[Fani Badayuni]
----------------------
Mareez-E-Ishq Par Rahmat Khuda Ki
Marz Badhta Hi Gaya Jyon-Jyon Davaa Ki
[Meer Taqi Meer]
----------------------
Un Ke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Moonh Pe Raunaq
Vo Samajhte Hain Ki Beemaar Ka Haal Achchha Hai
[Mirza Ghalib]
----------------------
Ab To Beemaar-E-Muhabbat Tere
Qaabil-E-Ghaur Hue Jaate Hain
[Daagh Dehlvi]
----------------------
Ulti Ho Gain Sab Tadbeeren Kuchh Na Dava Ne Kaam Kiya
Aakhir Is Beemari-E-Dil Ne Aakhir Kaam Tamaam Kiya
[Meer Taqi Meer]
----------------------
Aap Uth Rahe Hain Kyoon Mere Aazaar Dekh Kar
Dil Doobte Hain Haalat-E-Beemar Dekh Kar
[Saqib Lucknawi]
----------------------
Gham Se Kahin Najaat Mile Chain Paayen Ham
Dil Khoon Main Nahaae To Ganga Nahaayen Ham
[Daagh]
----------------------
Gar Marz Ho Dawa Kare Koi
Marne Waale Ka Kya Kare Koi
Koste Hain Jale Hue Kya Kya
Apne Haq Main Dua Kare Koi
[Daagh]
----------------------
Ek Saaghar Par Hai Apni Zindegi
Rafta Rafta Is Se Bhi Kam Kya Karen
[Daagh]
----------------------
Kisi Haseena Ke Maasoom Ishq Men "Akhtar"
Javaani Kya Hai Main Sab Kuchh Tabaah Kar Loon Ga
[Akhtar Sheerani]
----------------------
Tark-E-Wafaa Ke Baad Ye Us Ki Adaa Qateel
Mujh Ko Sataaye Koi To Us Ko Buraa Lage
[Qateel]
----------------------
Sabr Toote Huwe Dilon Ka Na Le
Tu Yunhi Dhaan-Paan Hai Pyaare
[Jigar Moradabadi]
----------------------
Yeh Ishq Nahin Aasaan Itna Hi Samajh Leejay
Ek Aag Ka Darya Hai Aur Doob Ke Jaana Hai
[Jigar Moradabadi]
----------------------
Afsaana-E-Aashiq Mein Hai Woh Tool Ke Jis Se
Aaghaaz Ne Dekhi Nahin Anjaam Ki Soorat
[Hairat Allahabadi]
----------------------
Hoon Main Be-Misl, Mera Ishq Bhi Laa-Saani Hai
Main Woh Majnoon Hoon Ke Laila Meri Deevani Hai
[Hairat Allahabadi]
----------------------
Kis Taraf Jaaoon, Kidhar Dekhoon,Kise Aawaaz Doon
Ai Hujoom-E-Na-Muraadi, Jee Bahut Ghabraaye Hai
[Jigar Moradabadi]
----------------------
Yeh Hujoom-E-Gham Yeh Andoh-O-Museebat Dekh Kar
Apni Haalat Dekhta Hoon Un Ki Soorat Dekh Kar
[Jigar Moradabadi]
----------------------
Meri Barbaadiyaan Durust Magar
Too Bata Kya Tujhe Sawaab Mila
[Jigar Moradabadi]
----------------------
Muhabbat Mein Ek Aisa Waqt Bhi Dil Par Guzarta Hai
Ke Aansoo Khushk Ho Jaate Hain Tughyaani Nahin Jaati
[Jigar Moradabadi]
----------------------
Achchhe Eisa Ho Mareezon Ka Khayal Achchha Hai
Hum Mare Jaate Hain Tum Kehte Ho Haal Achchha Hai
[Ameer Meenai]
-----------------------------------------------------------------
Majnun Ashaar
Marg-E-Majnun Pe Aql Gum Hai, ‘Meer’,
Kya Diwaane Ne Maut Paayi Hai!
[Mir Taqi Mir]
--------------------
Main Ne Majnun Pe Ladakpan Mein, ‘Asad’,
Sang Uthaaya Tha Ke Sar Yaad Aaya.
[Mirza Ghalib]
--------------------
Dil Tadpe Hai, Jaan Khape Hai, Haal Jigar Ka Kya Hoga,
Majnun, Majnun, Log Kahen Hain, Kya Majnun Hum Sa Hoga.
[Mir Taqi Mir]
--------------------
Tum Ko Bhi Hum Dikhaayen Ge Majnun Ne Kya Kiya,
Fursat Kasha-Kash-E-Ghum-E-Pinhaan Se Gar Mile.
[Mirza Ghalib]
--------------------
Har Ik Makaan Ko Hai Makeen Se Sharf ‘Asad’,
Majnun Jo Mar Gaya To Jungle Udaas Hai
[Mirza Ghalib]
--------------------
Majnun Ne Shahr Chhora Hai, Sahra Bhi Chhor De,
Nazzaare Ki Hawas Ho To Laila Bhi Chhor De.
[Allama Iqbal]
--------------------
Nisbat Kya In Logon Se Hum Ko, Shahri Ham Deewaane Hum,
Hai Farhaad Ek Aadam-E-Kohi, Majnun Ik Sahraayi Hai.
[Mir Taqi Mir]
--------------------
Qayamat Hai Ke Sun Laila Ka Dasht-E-Qais Mein Aanaa,
Ta’ajjub Se Woh Bola: Yoon Bhi Hota Hai Zamaane Mein.
[Mirza Ghalib]
--------------------
Hamari Daastaan Mein Zikr-E-Qais-O-Koh-Kan Aaya,
Wahan Se Phir Hamaari Daastaan Tak Baat Aa Pahunchi.
[Hari Chand Akhtar]
--------------------
Ek Tha Majnun, Aashiq-E-Laila, Weerane Mein Maut Huyi,
Aur Agar Tafseel Se Poochho, Yeh Qissa Toolaani Hai.
[Firaq Gorakhpuri]
--------------------
Kabhi Apna Bhi Nazzaara Kiya Hai Tu Ne Ai Majnun!
Ke Laila Ki Tarah Tu Bhi To Hai Mahmal Nasheenon Mein.
[Allama Iqbal]
--------------------
Qais Jungle Mein Akela Hoga, Mujhe Jaane Do,
Khoob Guzregi Mil Baithenge Jab Deewaane Do.
--------------------
Ghazalaan Tum To Waqif Ho, Kaho Majnun Ke Marne Ki,
Diwaana Mar Gaya Aakhir Ko Weeraanon Pe Kya Guzri.
--------------------
1 Comments
Mareez ishq hn dawa aur naseehat kb asar rakti hy
ReplyDeleteNoori ki shifa ke lye bs mehbob ki nigah asar rakti hy