Laazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koi Din Aur
Tanha Gaye Kyon Ab Raho Tanha Koi Din Aur
[Mirza Ghalib]
**************************************
Koi Afsaana Chhed Tanhaai
Raat Katati Nahin Judaai Ki
[Firaq Gorakhpuri]
*****************************
Ek Mahfil Mein Kai Maafilen Hoti Hain Shareek
Jis Ko Bhi Paas Se Dekho Ge Vo Tanhaa Hogaa
[Bashir Badr]
******************************
Jab Taqaazaa Neend Ka Ho Aur Tanhaai Na Ho
Uff Vo Kaifiyat Ki Ho Bhi Aur Tanhaai Na Ho
[Asar Lucknawi]
******************************
Us Ke Dushman Hain Bahut, Aadmi Achcha Hoga
Vo Bhi Meri Hi Tarah Shahar Mein Tanhaa Hoga
[Bashir Badr]
******************************
Achcha Sa Koi Mausam Tanha Sa Koi Aalam
Har Vaqt Ka Ronaa To Bekaar Ka Ronaa Hai
[Nida Fazli]
******************************
Tere Khayaal Se Lau De Uthi Hai Tanhaai
Shab-E-Firaaq Hai Yaa Teri Jalvaa-Aaraai
[Nasir Kazmi]
******************************
Tum Nahin Gham Nahin Sharaab Nahin
Aisi Tanhaai Kaa Javaab Nahin
[Saeed Rahi]
******************************
Ik Aag Gham-E-Tanhaai Ki Jo Saare Badan Mein Phail Gai
Jab Jism Hi Saaraa Jalta Ho Phir Daaman-E-Dil Ko Bachaayen Kya
[Athar Nafees]
******************************
Dil Samajhta Tha Ki Khalvat Mein Vo Tanha Honge
Main Ne Parda Jo Uthaaya To Qayaamat Nikli
[Aziz Lucknawi]
******************************
Na Mit Saken Gi Ye Tanhaaiyaan Magar Ai Dost
Jo Too Bhi Ho To Tabiyat Zaraa Bahal Jaae
[Majrooh Sultanpuri]
******************************
Kuchh Na Kuchh In Kathin Tanhaaiyon Ko Do Fareb
Haath Phailaao Duaa Maango Munaajaaten Karo
[Mukhtar Siddiqui]
******************************
Ek Puraana Mausam Lautaa Yaad Bhari Puravaai Bhi
Aisaa To Kam Hi Hotaa Hai Vo Bhi Hon Tanhaai Bhi
[Gulzar]
******************************
Main Tanha Tha Main Tanha Hoon
Tum Aao To Kyaa, Na Aao To Kyaa
[Obaidullah Aleem]
******************************
Meri Tanhaaiyaan Tumhin Lagaa Lo Mujh Ko Seene Se
Ki Main Ghabraa Gayaa Hoon Is Tarah Ro-Ro Ke Jeene Se
[Prem Warbartoni]
******************************
Door Hai Manzil Raahen Mushkil Aalam Hai Tanhaai Kaa
Aaj Mujhe Ehasaas Huaa Hai Apni Shikasta-Paai Kaa
[Shakeel Badayuni]]
******************************
Chand Kaliyaan Nishaat Ki Chun Kar
Muddaton Mahv-E-Yaas Rahta Hoon
Tera Milna Khushi Ki Baat Sahi
Tujh Se Mil Kar Udaas Rahta Hoon!
[Sahir Ludhianvi]
******************************
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai Mohsin,
Teri Aankhen Mere Khwaabon Se Kitni Milti Julti Hain
******************************
Wo Bhi Bahut Akela Hai Shaaid Meri Tarah,
Us Ko Bhi Koi Chaahne Waala Nahin Milaa.
******************************
0 Comments