Tasavvur Shayari

thinking of you



Teri Yaad Hai Yaa Teraa Tasavvur
Kabhi 'Daagh' Ko Ham Ne Tanhaa Na Dekhaa

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Tasavvur Mein Udhar Vo Aa Rahe Hain
Idhar Dil Hai Ki Baithaa Jaa Rahaa Hai

[Sirajul Hasan Siraj]

**************************************


Ji Dhoondhta Hai Phir Vahi Fursat Ke Raat Din
Baithe Rahen Tasavvur-E-Jaanaan Kiye Hue

[Mirza Ghalib]

**************************************


Thi Ek Shakhs Ke Tasavvur Se
Ab Vo Ra’naai-E-Khayaal Kahaan

[Mirza Ghalib]

**************************************


Yoon Barasti Hain Tasavvur Mein Puraani Yaaden
Jaise Barsaat Ki Rimjhim Mein Samaan Hotaa Hai

[Qateel Shifai]

**************************************


Ham Band Kiye Aankh Tasavvur Mein Pade Hain
Aise Mein Koi Chham Se Jo Aa Jaaye To Kyaa Ho

[Riaz Khairabadi]

**************************************


Achchhaia Hai Sar-Angusht-E-Hinaai Ka Tasavvur
Dil Mein Nazar Aati To Hai Ek Boond Lahoo Ki

[Mirza Ghalib]

**************************************


Jo Bahut Door Thaa Aaj Baahon Mein Hai
Jo Tasavvur Mein Tha Vo Nigaahon Mein Hai

[Unknown]

**************************************


Kuchh Nazar Nahin Aataa Un Ke Tasavvur Ke Sivaa
Hasrat-E-Deedaar Ne Aankhon Ko Andhaa Kar Diyaa

[Unknown]

**************************************


Hairaan Hue Na The Jo Tasavvur Mein Bhi Kabhi
Tasveer Ho Gaye Meri Tasveer Dekh Kar

[Unknown]

**************************************


Phir Nazar Mein Phool Lahke Dil Mein Phir Shammyen Jalin
Phir Tasavvur Ne Liyaa Us Bazm Mein Jaane Kaa Naam

[Faiz Ahmed Faiz]

**************************************


Raat Bhar Un Kaa Tasavvur Dil Ko Tadpaata Rahaa
Ek Naqshaa Saamne Aataa Rahaa Jaataa Rahaa

[Akhtar Shirani]

**************************************


Milen Shaam Ko Aasmaan Aur Zameen
Tasavvur Mein Mil Lenge Ham Bhi Kahin

[Unknown]

**************************************


Chale Jaayiye Mujh Se Daaman Bachaa Kar
Tasavvur Se Bach Kar Kahaan Jaayiyegaa

[Unknown]

**************************************


Too Yaad Aaye Tere Jaur-O-Sitam Phir Bhi Na Yaad Aaye
Tasavvur Mein Ye Maasoomi Badi Mushkil Se Aati Hai

[Firaq Gorakhpuri]

**************************************


Do Ghadi Dil Ke Bahalne Kaa Sahaara Bhi Gayaa
Leejiye Aaj Tasavvur Mein Bhi Tanhaai Hai

[Manzar Lucknavi]

**************************************


Ai Zauq-E-Nazaara Kya Kahiye Nazron Mein Koi Soorat Hi Nahin
Ai Zauq-E-Tasavvur Kya Keeje Ham Soorat-E-Jaanaan Bhool Gaye

[Majaz]

**************************************


Too Ne Dekhi Hai Vo Peshaani Vo Rukhsaar Vo Honth
Zindagi Un Ke Tasavvur Mein Guzaari Ham Ne

[Faiz Ahmed Faiz]

**************************************


Un Kaa Zikr Un Kaa Tasavvur Un Ki Yaad
Kat Rahi Hai Zindagi Aaraam Se

[Mahashar Badayuni]

**************************************


Ghum Neend Ki Aaghosh Mein Hone Nahin Detaa
Raaton Ko Tasavvur Teraa Sone Nahin Detaa

[Arzoo Lucknawi]

**************************************


Khul Nahin Sakti Hain Ab Aankhen Meri
Jee Mein Ye Kis Kaa Tasavvur Aa Gayaa

[Khwaja Meer Dard]

**************************************


Aansoo Nikal Rahe Hain Ban Ke Tasavvur Mein Phool
Shaadaab Ho Rahaa Hai Gulistaan-E-Aarzoo

[Akhtar Shirani]

**************************************


Shaam Se Un Ke Tasavvur Kaa Nasha Tha Itna
Neend Aai Hai To Aankhon Ne Bura Maana Hai

[Unknown]

**************************************


Main Ne Jo Phool Chune The Tere Qadamon Ke Liye
Un Ka Dhundhla Saa Tasavvur Bhi Mere Paas Nahin

[Sahir Ludhianvi]

**************************************


Tadpen Ge Teri Yaad Mein Ghabraayen Ge Tanha
Ai Dost Kisi Taur Na Jee Paayen Ge Tanhaa

Jeene Kaa Akele To Tasavvur Bhi Nahin Hai
Ham Tujh Se Juda Honge To Mar Jaayen Ge Tanha

[Irfan Aabid]

*************************************


Chmakna Barq Ka Laazim Pada Hai Abr-O-Baaraan Mein
Tasavvur Chahiye Roney Mein Us Ke Roo-E-Khandaan Ka

[Nasikh]

**************************************


Tasavvur Kis Tarah Bhoole Tera Is Chashm-E-Giriyan Ko
Nikaale Menh Barasne Mein Koi Kya Ghar Se Mehmaan Ko

[Zauq]

**************************************

Post a Comment

0 Comments

–>