Savaal-E-Vasl Par Un Ko Udoo Ka Khauf Hai Itnaa
Dabe Honthon Se Dete Hain Javaab Aahista Aahista
[Ameer Minai]
***********************************
Vasl Kaa Din Aur Itnaa Mukhtasar
Din Gine Jaate The Jis Din Ke Liye
[Ameer Minai]
***********************************
Shab-E-Vasl Kya Mukhtasar Ho Gai
Ke Aate Hi Aate Sahar Ho Gai
[Ameer Minai]
***********************************
Vasl Ki Raat Chali Ek Na Shokhi Un Ki
Kuchh Na Ban Aai To Chupke Se Kaha Maan Gaye
[Hasrat Mohani]
***********************************
Vasl Ki Banti Hain In Baaton Se Tadbeeren Kahin,
Aarzuon Se Phira Karti Hain Taqdeeren Kahin.
[Hasrat Mohani]
***********************************
Kis Lutf Se Jhunjhla Ke Vo Kahte Hain Shab-E-Vasl
Zaalim Teri Aankhon Se Gai Neend Kidhar Aaj
[Ameer Minai]
***********************************
Idhar Dekho Hayaa Kaisi Shab-E-Vasl
Uthaao Bhi Ye Parda Darmiyaan Se
[Ameer Minai]
***********************************
Phir Baithe Baithe Waada-E-Vasl Us Ne Kar Liya,
Phir Uth Khara Hua Wohi Rog Intezaar Ka.
[Ameer Minai]
***********************************
Vasl Mein Khaali Hui Aghiaar Se Mahfil To Kya,
Sharm Bhi Jaaye To Main Jaanoon Ke Tanhaai Hui.
[Ameer Minai]
***********************************
Baaham Shab-E-Visaal Uthaaye Hain Kya Maze
Vo Bhi Ye Kah Rahe Hain Ilaahi Sahar Na Ho
[Riaz Khairabadi]
***********************************
Vasl Mein Rang Ud Gayaa Mera
Kya Judaai Ko Moonh Dikhaaoon Ga
[Meer Taqi Meer]
***********************************
Vasl Is Ka Khudaa Naseeb Kare
‘Meer’ Jee Chaahta Hai Kya Kya Kuchh
[Meer Taqi Meer]
***********************************
Vasl-O-Hijran, Yeh Jo Do Manzilen Hain Ishq Ki,
Dil Gharib In Mein Khuda Jaane Kahan Maara Gaya
[Meer Taqi Meer]
***********************************
Kisi Se Vasl Mein Sunte Hi Jaan Sookh Gai
Chalo Hato Bhi Hamaari Zabaan Sookh Gai
[Riaz Khairabadi]
***********************************
Main Is Liye Manaata Nahin Vasl Ki Khushi
Mere Raqeeb Ki Na Mujhe Bad-Duaa Lage
[Qateel Shifai]
***********************************
Yaas Ki Basti Mein Ek Chhoti Si Ummeed-E-Visaal
Ajnabi Ki Tarah Phirti Hai Ghabaraai Hui
[Hafeez Jalundhari]
***********************************
Vo Ek Raat Guzar Bhi Gai Magar Ab Tak
Visaal-E-Yaar Ki Lazzat Se Toot Raha Hai Badan
[Ahmed Faraz]
***********************************
Main Muztarib Hoon Vasl Mein Khauf-E-Raqib Se
Daalaa Hai Tum Ko Vaham Ne Kis Pech-O-Taab Ne
[Mirza Ghalib]
***********************************
Yeh Na Thi Hamari Qismat Ke Visaal-E-Yaar Hota,
Agar Aur Jeete Rahte Yehi Intezaar Hota
[Mirza Ghalib]
**********************************
Mere Ji Mein Hai ‘Ghalib’, Zauq-E-Vasl-O-Shikwa-E-Hijraan,
Khuda Woh Din Kare Ke Us Se Main Yeh Bhi Kahun Woh Bhi.
[Mirza Ghalib]
***********************************
Nai Muzhda-E-Visaal, Na Nazzara-E-Jamaal,
Muddat Hui Ke Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai.
[Mirza Ghalib]
***********************************
Yaar Sè Chher Chali Jaaye, ‘Asad’,
Gar Nahin Vasl To Hasrat Hi Sahi.
[Mirza Ghalib]
***********************************
Khush Hote Ham Par Vasl Mein Yoon Mar Nahin Jaate,
Aai Shab-E-Hijrasn Ki Tamanna Merey Aage
[Mirza Ghalib]
***********************************
Vasl Mein Gar Ho Mujhe Rooyet-E-Maah-E-Rajab
Roo-E-Jaanaan Hi Ko Dekhoon Main To Quraan Chhor Kar
[Ghalib]
***********************************
Zaraa Visaal Ke Baad Aainaa To Dekh Ai Dost
Tere Jamaal Ki Doshizgi Nikhar Aai
[Firaq Gorakhpuri]
***********************************
Kabhi Jo Yoon Bhi Milo Tum To Meharbani Hai,
Gharaz Woh Vasl Ka Wa’da To Dar-Kinaar Raha.
[Firaq Gorakhpuri]
***********************************
Is Liye Vasl Se Inkaar Hai Ham Jaan Gaye
Ye Na Samjhe Koi Kya Jald Kaha Maan Gaye
[Daagh Dehlvi]
***********************************
Shab-E-Vasl Aisi Khili Chaandni
Vo Ghabraa Ke Bole Sahar Ho Gai
[Daagh Dehlvi]
***********************************
Di Mu'azzin Ne Shab-E-Vasl Azaan Pichhli Shab
Haaye Kambakht Ko Kis Vaqt Khuda Yaad Aaya
[Daagh Dehlvi]
*********************************
Vasl Ke Aish Mein Sab Hijr Ke Gham Bhool Gaye
Yaad Rakhna Tha Hamein Jisko Woh Ham Bhool Gaye
Waada-E-Vasl Qayaamat Mein Bhi Na Hoga Wafa
Waah Bhi Kahiye Ga, ‘Tere Sar Ki Qasam Bhool Gaye’
[Daagh Dehlvi]
**********************************
Thi Shab-E-Vasl Kis Qadar Kotaah
Shaam Guzri Ki Bas Sahar Aayi
[Daagh Dehlvi]
***********************************
Karte Ho Ahad-E-Wasl To Itna Rahe Khayaal
Paimaan Se Zyada Hai Na-Paaydaar Dil
[Daagh Dehlvi]
************************************
Ajab Apanaa Haal Hotaa Jo Visaal-E-Yaar Hotaa
Kabhi Jaan Sadaqe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hotaa
[Daagh Dehlvi]
************************************
Hansaa Hansaa Ke Shab-E-Wasl Ashk-Baar Kiyaa
Tasalliyaan Mujhe De-De Ke Beqaraar Kiyaa
[Daagh Dehlvi]
************************************
Shab-E-Vasl Li Unki Itni Balaayein
Ki Hamdam Mere Saath Hi Jaante Hain
[Daagh Dehlvi]
***********************************
Shab-E-Vasl Zid Mein Basar Ho Gai,
Nahin Karte Karte Sahr Ho Gai.
[Daagh Dehlvi]
***********************************
Shab-E-Vasl Ki Bekhudi Chhaa Rahi Hai
Kaho To Sitaaron Ki Shama’en Bujhaa Den
Vo Aayenge Aaj Ai Bahaar-E-Muhabbat
Sitaaron Ke Bistar Men Kaliyaan Bichha Den
[Abdul Hameed Adam]
***********************************
Bal Be Ayyari Adu Ke Aage Wo Paimaan Shikan
Waada-E-Vasl Phir Karta Tha Aur Sharmaae Tha
[Momin]
***********************************
Vasl Ki Shab Thi To Kis Darja Subak Guzri Hai
Hijr Ki Shab Hai To Kya Sakht Garaan Guzri Hai
[Faiz]
************************************
Mai Aur Haz-E-Wasl, Khuda-Saaz Baat Hai
Jaan Nazr Deni Bhool Gaya Iztiraab Mein
[Ghalib]
***********************************
Main Is Liye Manaataa Nahin Wasl Ki Khushi
Mere Raqeeb Ki Na Mujhe Bad-Duaa Lage
[Qateel Shifai]
************************************
Sad-Afsos, Jaati Rahi Vasl Ki Shab,
Zara Thahar, Ai Be-Wafa, Kahte Kahte.
[Momin]
***********************************
Aaye To Yoon Ke Jaise Hamesha They Meharbaan,
Bhoole To Yoon Ke Goya Kabhi Ashna Na They.
[Faiz Ahmad Faiz]
***********************************
Visaal Tera, Khyaal Tera, Jo Ho To Kyonkar, Na Ho To Kyonkar,
Na Tujh Pe Kuchh Ikhtiyar Mera, Na Dil Pe Kuchh Ikhtiyar Mera.
[Fani]
***********************************
Vasl-E-Madaam Se Bhi Hamari Bujhi Na Pyaas,
Doobe Hum Aab-E-Khizr Mein Aur Neem-Jaan Rahe.
[Hali]
***********************************
Vasl-E-Jaanaan Mein Nazar Aayaamah-E-Sha'baan Mujhe
Sabza Kya Dekhoon Kht-E-Rukhsar-E-Jaanaan Dekh Kar
[Nasikh]
***********************************
Sawaal-E-Vasl Par Hilna Pari-Roo Tere Abroo Ka
Ishaara Hai Baraat-E-Aashiqaan Par Shaakh-E-Aahoo Ka
[Nasikh]
***********************************
Shab-E-Vasl Thi Chandni Ka Samaan Tha
Baghal Mein Sanam Tha Khuda Meherbaan Tha
[Aatish]
***********************************
Woh Kabhi Aariz Dikhaate Hain Kabhi Zulf-E-Siyah
Vasl Ka Va'da Rahega Ya'ni Subh-O-Shaam Par
[Hairat Allahabai]
***********************************
Uff Woh Roo-E-Taabnaak Woh Chashm-E-Tar Mere Liye
Haaye Woh Zulf-E-Pareshaan Taa-Kamar Mere Liye
Uff Woh Kahna Us Ka Phir Baanhon Mein Baanhen Daal Kar
Main 'Jigar' Ke Waaste Hoon Aur Jigar Mere Liye
[Jigar Moradabadi]
***********************************
Wajd Mein Gin Raha Hoon Naqsh-E-Firaaq
Vasl Ki Daalion Pe Kushboo Se
[Kalim Akhtar]
***********************************
Firaq Se Bhi Gaye Hum Visal Se Bhi Gaye,
Subuk Huye Hain To Aish-E-Malal Se Bhi Gaye
[Aziz Hamid Madni]
***********************************
0 Comments