Zulf Shayari

zulf shayari


Ada Un Kaale Kaale Gesuon Ki Kuchh Niraali Hai
Banaane Se Bigadte Hain Sanwaare Se Bikharte Hain

[Daagh Dehlvi]

************************************


Chehre Pe Mere Zulf Ko Bikhraao Kisi Din
Kyaa Roz Garajate Ho Baras Jaao Kisi Din

[Amjad Islam Amjad]

************************************


Neend Us Ki Hai, Dimaagh Us Ka Hai, Raaten Us Ki Hain
Teri Zulfen Jis Ke Baazoo Par Parishaan Ho Gaeen

[Mirza Ghalib]

************************************


Vo Lajaaye Mere Savaal Par Ke Utha Sake Na Jhuka Ke Sar
Udi Zulf Chehre Pe Is Tarah Ke Shabon Ke Raaz Machal Gaye

[Majrooh Sultanpuri]

************************************


Sair-E-Bahaar-O-Baagh Se Ham Ko Muaaf Keejiye
Us Ke Khayaal-E-Zulf Se 'Dard' Kise Faraagh Hai

[Khwaja Meer Dard]

************************************


Idhar Khayaal Mere Dil Mein Zulf Ka Guzara
Udhar Vo Khaata Huaa Dil Mein Pech-O-Taab Aayaa

[Bahadur Shah Zafar]

************************************


Bahut Mushkil Hai Duniyaa Ka Sanvaranaa
Teri Zulfon Kaa Pech-O-Kham Nahin Hai

[Majaz]

************************************


Hum Huey, Tum Huey, Ke Meer Huey,
Us Ki Zulfon Ke Sab Aseer Huey.


[Meer Taqi Meer]

************************************


Apni Zulfon Ko Sitaron Ke Havaale Kar Do,
Shahr-E-Gul Bada-Gusaaron Ke Havaale Kar Do. 

Talkhi-E-Hosh Ho Ya Masti-E-Idarak-E-Junoon,
Aaj Har Cheez Bahaaron Ke Havaale Kar Do.


[Abdul Hamid Adam]

************************************


Mauj-E-Naseem-E-Subah Ke Qurbaan Jaaiye,
Aai Hai Boo-E-Zulf-E-Mu’amber Liye Huey.

[Asghar Gondvi]

************************************


Tu Ne Sulajh Kar Gesu-E-Jaanaan,
Aur Barha Di Dil Ki Uljhan.

[Jigar Moradabadi]

************************************


Us Ne Shaanon Pe Zulf Barham Ki
Khair Yaa Rab Nizaam-E-Aalam Ki

[Jigar Moradabadi]

************************************


Zulf Se Hai Ai Pari-Roo Husn Tera Jis Tarah
Bas Yun Hi Zeenat Hai Ham Deewaanon Ki Zanjeer Ki

[Nasikh]

************************************


Lazzat-E-Wahshat Se Jalta Hoon Kahin Bhaage Na Dil
Hain Mushabeh Aap Ki Zulfen Bahut Zanjeer Se

[Momin]

************************************


Kya Poochte Ho Ishq Hai Zulf-E-Dona Ke Saath
Ham Teera-Bakht Rahte Hain Kali Bala Ke Saath

[Hairat Allahabadi]

************************************


Rukh Bhi Dikhlaao Mujhe Zulf-E-Siyah-Faam Ke Baad
Qayada Hai Ki Sehar Hoti Hai Har Shaam Ke Baad

[Hairat Allahabadi]

************************************


Zulf Be-Tarah Badhi Aati Hai
Kamar-E-Yaar Ka Khuda Hafiz

[Hairat Allahabadi]

************************************


Rukh-E-Taabaan To Huwa Jaan Ka Khwahaan Paida
Dil Phansaane Ko Huwi Zulf-E-Prishaan Paida

[Hairat Allahabadi]

************************************



Zulfon Ki To Fitrat Hai Lekin Mere Pyare
Zulfon Se Bhi Zyada Balkhaye Chalo Ho

[Kalim Aajiz]

************************************


Zaahid Ne Mera Haasil-E-Imaan Nahin Dekha,
Rukh Par Teri Zulfon Ko Pareshaan Nahin Dekha.

[Asghar Gondvi]

************************************


Tu, Aur Aaraaish-E-Kham-E-Kaakul,
Main Aur Andesha-Haaye Door-O-Daraaz.

[Mirza Ghalib]

************************************


Taarikiyaan Chamak Gaeen Aawaaz-E-Dard Se,
Meri Ghazal Se Raat Ki Zulfen Sanwar Gaeen.

[Firaq Gorakhpuri]

************************************


Balaaen Zulf-E-Janaan Ki Agar Lete To Hum Lete,
Bala Yeh Kaun Leta Jaan Par, Lete To Tum Hum Lete.

[Bahadur Shah Zafar]

************************************


Ai Gesu-E-Ghazal! Teri Zulfon Mein Chhaon Hai
Baaqi Kisi Bhi Dhoop Mein Koi Shajar Nahin

[Kalim Akhtar]

************************************


Mukhalif Baad-E-Sarsar Mein Zara Lahraane Do Zulfen
Isi Mein Hum Watan Ka Apne Parcham Dekh Lete Hain


Nazar Se Aasman Ko Dekhna Bhi Kya Zaroori Hai
Teri Zulfon Mein Jaanam Kahkashan Hum Dekh Lete Hain

[Kalim Akhtar]

************************************


Ik Na Ik Zulmat Se Jab Wabasta Rahna Hai, To Josh,
Zindagi Par Sayaa-E-Zulf-E-Pareshaan Kyon Na Ho.

[Josh Malihabadi]

************************************


Chhedati Hain Kabhi Lab Ko Kabhi Rukhsaaron Ko
Tum Ne Zulfon Ko Bahut Sar Pe Chadhaa Rakha Hai

[Khwamkhah Hyderabaadi]

************************************


Kabhi Jo Nikhat-E-Zulf-E-Nigaar Aai Hai
Fazaa-E-Murda-E-Dil Men Bahaar Aai Hai

[Kausar Niyazi]

************************************


Zulf-E-Barham Ki Jab Se Shanasaai Hui
Zindagi Ka Chalan Mujrimaana Huaa

[Saghar Siddiqui]

************************************


Nakhat-E-Zulf-E-Pareshaan, Daastaan-E-Shaam-E-Gham
Subah Hone Tak Isi Andaaz Ki Baaten Karo

[Firaq Gorakhpuri]

************************************


Jab Zulf Ki Kaalikh Mein Ghul Jaaye Koi Raahi
Badnaam Sahi Lekin Gumnaam Nahin Hota

[Meena Kumari 'Naaz']

************************************


Tumhaara Pyaar Mere Gesuon Ki Uljhan Ho
Tumhaare Vaaste Dil Ka Chiraag Raushan Ho
Sahar Nazar Se Mile Zulf Leke Shaam Aaye

[Tasleem Fazli]

************************************


Pareshaan Rahi Umr Bhar Par Na Chhoda
Teri Zulf Ne Kaj-Adaai Ka Dhandhaa

[Zafar Gorakhpuri]

 ************************************


Zara Un Ki Shokhi To Dekhiye Liye Zulf-E-Kham-Shuda Haath Mein
Mere Peechhe Aaye Dabe-Dabe Mujhe Saanp Kah Ke Daraa Diyaa

[Bahadur Shah Zafar]

************************************

Post a Comment

6 Comments

  1. This is one of the best website . I love it so much . I like shahrukh khan wallpapers too and I also love to windows wallpaper. I want to ask that where can I get bollywood wallpapers just like katrina wallpapers .

    ReplyDelete
  2. thanks for sharing amazing shayari

    ReplyDelete
  3. hu said .. it's just site ..
    its jewellers show room of precious gems.

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  5. Ab ho cheda to bikhar jayegi
    Zindagi zulf nhi hai jo sanwar jayegi,

    Us zulf ka kya khena jo dosh pr lehraye
    Bikhre to ghata chaye, simte to bane nagin.

    Udhar zulfon me kanghi ho rhi hai kham nikalta hai
    Idhar ruk ruk ke rhe rhe ke hmara dum nikalta hai.

    Kismat humari gesu e jaana se kam nhi
    Jitna sanwarte gye utne hi bal pade

    ReplyDelete

–>