They Dayaar-E-Nau, Zameen-O-Aasmaan Mere Liye
Wus'at-E-Aaghosh-E-Maadar Ik Jahaan Mere Liye
Thi Har Ik Junmbish-Nishaan-E-Lutf-E-Jaan Mere Liye
Hurf-E-Be-Matlab Thi Khud Meri Zubaan Mere Liye
Dard-E-Tifli Mein Agar Koi Rulataa Thaa Mujhe
Shoorish-E-Zanjeer-E-Dar Mein Lutf Aataa Thaa Mujhe
Takte Rehnaa Hai Woh Pehron Talak Soo-E-Qamar
Woh Phate Baadal Mein, Be-Aawaaz-E-Paa Uss Ka Safar
Poochna Reh Reh Ke Uss Ke Koh-E-Sehraa Ki Khabar
Aur Woh Hairat Darogh-E-Maslihat Aamez Par
Aankh Waqf-E-Deed Thi, Lab Maail-E-Guftaar Thaa
Dil Na Tha Mera, Saraapaa Zauq-E-Istafsaar Thaa
-----------------------------
0 Comments