Allama Iqbal - 'Maan Ka Khwaab'


Main Soi Jo Ik Shab To Dekha Yeh Khwaab
Badha Aur Jiss Se Meraa Izteraab

Yeh Dekha Ke Main Jaa Rahi Hoon Kahin
Andhera Hai Aur Raah Milti Nahin

Laraztaa Tha Dar Se Mera Baal Baal
Qadam Ka Tha Dehshat Se Utthna Muhaal

Jo Kuch Hausla Paa Ke Aage Badhi
To Dekha Qataar Ik Ladkon Ki Thi

Zamarrud Si Poshaak Pehne Huay
Diye Sub Ke Haathon Mein Jalte Huay

Woh Chup-Chaap The Aage Peeche Rawaan
Khuda Jaane Jaana Tha Unn Ko Kahaan

Issi Soch Mein Thi Ke Mera Pisar
Mujhe Iss Jama'at Mein Aaya Nazar

Woh Peechhe Tha Aur Tez Chalta Na Thaa
Diya Uss Ke Haathon Mein Jalta Na Thaa

Kaha Main Ne Pehchaan Kar Meri Jaan
Mujhe Chhorh Kar Aa Gaye Tum Kahaan

Judaai Mein Rehti Hoon Main Be-Qaraar
Piroti Hoon Roz Ashkon Ke Haar

Na Parwah Hamaari Zara Tum Ne Ki
Gaye Chhorh, Achchi Wafa Tum Ne Ki

Jo Bachche Ne Dekha Mera Pech-O-Taab
Diya Uss Ne Moonh Pher Kar Yun Jawaab

Rulaati Hai Tujh Ko Judaai Meri
Nahin Iss Mein Kuch Bhi Bhalaai Meri

Yeh Keh Kar Woh Kuch Der Tak Chup Rahaa
Diyaa Phir Dikhaa Kar Yeh Kehne Laggaa

Samajhti Hai Tu Ho Gayaa Kyaa Isse
Tere Aansuon Ne Bujhaayaa Isse

--------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>