Na Tu Zameen Ke Liye Hai ,Na Aasmaan Ke Liye
Jahaan Hai Tere Liye, Tu Nahin Jahaan Ke Liye
Yeh Aql-O-Dil Hain Sharar Shola-E-Mohabbat Ke
Woh Khaar-O-Khass Ke Liye Hai, Yeh Neestaan Ke Liye
Muqaam-E-Parvarish-E-Aah-O-Naala Hai Yeh Chaman
Na Sair-E-Gul Ke Liye Hai, Na Aashiyan Ke Liye
Rahe Ga Raavi-O-Neel-O-Firaat Mein Kab Tak
Tera Safeena Ke Hai Behr-E-Be-Karaan Ke Liye
Nishaan-E-Rah Dikhaate The Jo Sitaaron Ko
Taras Gaye Hain Kisi Mard-E-Rah-Daan Ke Liye
Nigah-E-Buland, Sukhan Dil Nawaaz, Jaan Pur-Soz
Yehi Hai Rakht-E-Safar Meer-E-Kaarwaan Ke Liye
Zara Si Baat Thi, Andesha-E-Ajam Ne Usse
Badha Diya Hai Faqat Zeb-E-Daastaan Ke Liye
Mere Guloo Mein Hai Ik Naghma-E-Jibraeel-E-Aashoob
Sanbhaal Kar Jisse Rakhaa Hai Laa-Makaan Ke Liye
------------------------
0 Comments