Kehtaa Tha Azaazeel, Khuda-Wand-E-Jahaan Se
Jahaan Mein Kyun Na Mujhe Tu Ne Laa-Zawaal Kiya
Mila Jawaab Ke Tasveer-Khaana Hai Duniya
Shab-E-Daraaz Ad'm Ka Fassaana Hai Duniya
Hui Hai Rang-E-Taghaiyyur Se Jab Namood Iss Ki
Wohi Haseen Hai Haqeeqat Zawaal Hai Jiss Ki
Kahin Qareeb Tha, Ye Guftugu Qamar Ne Suni
Falak Pe Aam Hui, Akhtar-E-Sehar Ne Suni
Sehar Ne Taare Se Sunn Kar Sunaai Shabnam Ko
Falak Ki Baat Bata Di Zameen Ke Mehramm Ko
Bhar Aaye Phool Ke Aansoo Payaam-E-Shabnam Se
Kali Ka Nanha Sa Dil Khoon Ho Gayaa Ghamm Se
Chaman Se Rota Huaa Mausam-E-Bahaar Gaya
Shabaab Sair Ko Aayaa Tha, Sogwaar Gaya
----------------------
1 Comments
Iqbal sahb ke jaisa is duniya me dusra koi sayar nhi bn shakta.....
ReplyDelete